Katti Patang
Jahan Pey Main Aaj Hoon
Naa Jaanay Kyun Naraaz Hoon
Katti Patang Ki Tarah
Hawaa Kaa Main Mauhtaaj Hoon
Naa Jaanay Yeh Hawaa Kahan
Mujh Ko Lekar Jayegi
Ulfatien Zama Mein
Taarikh Likhi Jayegi
Oonchaee Par Kharhaa Hai Jo
Aaj Hum Ko Lega Loot
Urhaaega Phir Humein
Dekar Thorhi Aur Chhoot
Pichhli Baar Kaisey Kattay
Iska Hai Naa Koee Saboot
Umeed Hai Magar Iss Baar
Dhaagaa Hoga Mazboot
Jaanay Kab Kahan Hum
Ab Charhangey Naee Charakh
Aanay Wala Kal Hee
Kar Payega Iski Parakh
Kya Galat Hai Kya Hai Thheek
Yeh Bhi Ab Pataa Nahin
Katt Kay Baar Baar Urhnaa
Humnay Ab Leeya Hai Seekh
Hawaa Bhi Iss Jahan Sey
Dhoondhti Hai Rihaee
Rihaee Kay Junoon Mein
Woh Paharho Sey Hai Takraee
Iss Takraar Nay Deeyein Hain Issko Kayi Zakham
Kamzor Iss Hawaa Ko Hum Aur Kya Daingey Dosh
Zakhami Iss Halat Mein
Yeh Ghoomti Hai Behosh
Naa Toh Main Hawaa Hoon Koee Naa Hoon Main Koee Patang
Urhnaa Chahti Hai Jo Dabbi Hui Hoon Umang
Urhna Hoga Par Mujhey
Hawaa Kay Rukh Kay Hee Sung
Khulee Thhi Jo Hawaa Woh
Bandh Iss Jahan Mein Hai
Jahan Pey Main Aaj Hoon
Main Abh Nahin Naraaz Hoon
Jiss Pey Thha Gumnam Mauhtaaj
Woh Bhi Hai Kahan Azaad
Woh Bhi Hai Kahan Azaad
Woh Bhi Hai Kahan Azaad
***************Meanings**************
Ulfatien Zama - World of love
********************************************
कटी पतंग
जहां पे मैं आज हूँ
न जाने क्यों नाराज़ हूँ
कटी पतंग की तरह
हवा का मैं मोहताज हूँ
न जाने ये हवा कहाँ
मुझ को लेकर जाएगी
उल्फ़त-ए-ज़मां में
तारीख़ लिखी जाएगी
ऊंचाई पर खड़ा है
जो आज हम को लेगा लूट
उड़ाएगा फिर हमें
देकर थोड़ी और छूट
पिछली बार कैसे कटे
इसका है न कोई सबूत
उम्मीद है मगर इस बार
धागा होगा मज़बूत
जाने कब कहाँ हम
अब चढ़ेंगे नई चरख
आने वाला कल ही
कर पाएगा इसकी परख
क्या गलत है क्या है ठीक
ये भी अब पता नहीं
कट के बार बार उड़ना
हमने अब लिया है सीख
हवा भी इस जहाँ से
ढूँढती है रिहाई
रिहाई के जुनून में
वो पहाड़ों से है टकराई
इस तकरार ने दिये हैं इसको कई ज़ख़्म
कमज़ोर इस हवा को हम और क्या देंगे दोष
ज़ख़्मी इस हालात में
ये घूमती है बेहोश
न तो मैं हवा हूँ कोई न हूँ मैं कोई पतंग
उड़ना चाहती है जो दबी हुई हूँ उमंग
उड़ना होगा पर मुझे
हवा के रुख के ही संग
खुली थी जो हवा वो
बंद इस जहान में है
जहाँ पे मैं आज हूँ
मैं अब नहीं नाराज़ हूँ
जिस पे था गुमनाम मोहताज
वो भी है कहाँ आज़ाद
वो भी है कहाँ आज़ाद
वो भी है कहाँ आज़ाद
***************Meanings**************
उल्फ़त-ए-ज़मां - World of love
********************************************