Kyun Judaa Kiya Hai Iss Kadar Uskee Aashna Sey Mujhey
Gar Sab Ka Hai Toh Phir Milaa Uss Khuda Sey Mujhey
Dil Ko Aarzoo
Aur Aarzooun Ko Dil Chaahiye
Raastaa Poochhtaa Hai Safar Sey
Kahaan Jaanaa Chaahiye
Husn Kay Samandar Mein
Ouskay Noor Kaa Jazeera(Island) Thhaa
Oubhartay Armaano Kaa Jahaan
Karvaan Aakar Thhehraa Thhaa
Meray Dil Kee Sarhkein Yeh
Jaati Hain Jaanay Kahaan
Miltee Hain Kabhi Chauraahay Pey
Bichharhti Hain Kabhi Doraahay Pey
Woh Pinjee Huyee Rooee Si Naram Nazaroun Taley
Armaan Bharey Safeid Baadaloun Sey Khwaab Urhtey Chalein
Kisee Bey-garz(Unselfish) Bey-niyaaz(Carefree) Bahaar Kay Bahaao Kee Bazm Mein
Dil Kehtaa Hai Ki Qaainaat Ko
Kisee Taaqat Nay Bnaa Rakhaa Hai
Iss Dimaag Nay Kyun Phir
Iss Mann Ko Gumraah Kar Rakhaa Hai
Rahoon Teri Nazaroun Kay Daayeray Mein
Raastay Sey Hokar Main Mutasil (Near) Baithhaa
Jaisey Teray Noor Ki Raushnee Mein
Hairat Mein Mah-e-Qaamil (Full Moon) Baithhaa
Paani Ka Katraa Nahin
Kaantoun Sey Hein Phool
Aur Rehnuma Keh Raha Hai
Kee Yeh Registaan Hai Hee Nahin
Chauraahay Pey Jurm Hua Hai Abhi
Kisi Gawaah Nay Dekha Nahi
Jisnay Zameer Gawaa Kay Dekha Hai
Mainay Har Ous Gawaah Ko Dekha Hai
Khilay Gulshan Mein Oun Gunchoun Kay Beech
Ous Murjhaaye Huay Phool Ko Main Kya Bataaoon
Kehdoon Kay Yeh Thhi Khudaa Kee Hee Rzaa
Yaan Phir Ousey Dou Ghount Paani Aur Pilaaoon
Meray Zakham Kaa Naa Koee Kinaara Thhaa
Yeh Samunder Sey Bhi Gehra Thhaa
Kaash Woh Lehrein Sun Leyteen
Mera Dil Jo Yeh Keh Rhaa Thhaa
Ek Lamhaa Udaasi Kaa Hai Youn Bhi
Jiss Mein Shaamil Aaj Hai Tu Bhi
Iss Lamhay Kaa Humsafar Hai Tu Bhi
Aur Ek Qaatil Iss Mein Hai Tu Bhi
Zarraa Zarraa Meraa
Kehtaa Hai Har Zubaan Mein
Jhoothha Thhaa Har Sapnaa
Dekhaa Jo Iss Jahaan Mein
Teri Aankhoun Kay Samundar Mein
Yeh Hulchul Hai Nayee
Kyun Kinaaroun Nay Yahaan
Aaj Dum Torhaa Hai
Ruk Jaatey Hain Meray Alfaaz
Zubaan Tak Aanay Sey
Ruktay Nahin Hain Yeh Jazbaat
Ashq Bann Kar Aanay Sey
Jo Ehsaas Zubaan Pey Nahi
Woh Meray Shaoor Mein Kyun
Jo Meray Itnay Kareeb Hai
Woh Mujhsey Door Kyun
Veeraan Raastoun Mein
Waqt Kay Pairoun Pey Chal Rhaa Hoon
Aawaaraa Hwaa Nay Mujhay
Humsafar Banaayaa Hai
Kuchh Baatein Beshaq Kahi Naa Jaayein
Phir Bhi Maaeenay Rakhti Hain
Kuchh Yaadein Chaahay Dauhraaee Naa Jaayein
Phir Bhi Aaeenay Rakhti Hain
Shayari Ehlay Akal Kaa Imtehaan Hai
Yeh Naveeday Subaah Kee Tarjumaan Hai
Yeh Khud Mein Ek Wajood Hai
Yeh Ehsaason Kaa Kalaam Hai
Dooriyaan Hain Phir Bhi Woh Paas Hai
Woh Dil Mein Panaptaa Ek Ehsas Hai
Khaamoshee Kee Woh Meethhi Aawaaz Hai
Meri Rooh Ka Woh Sooreelaa Saaz Hai
Kabhi Dooriyon Kay Darmiyaan
Kabhi Qurbaton Kay Kareeb Sey
Unn Dharhkano Ko Aashiaan
Kabhi Mil Gaye Naseeb Sey
Jis Dharhkan Ka Tu Raaz Hai
Jis Saaz-e-Dil Kee Tu Aawaaz Hai
Jis Rooh Kee Tu Namaaz Hai
Phir Kyon Tu Ous Sey Naaraaz Hai
Sehraaon Mein Dumm Ghout Rhaa Hai
Bahaaron Sey Kehdo Rukh Badal Jaayein
Aawaaraa Ghoum Rahay Hain Aasmaan Mein Jo
Inn Baadalon Sey Kehdo Ki Abh Baras Jaayein
Ek Shaam Tu Meray Naam Kar
Phir Chaahay Naa Kabhi Salaam Kar
Qaid Hotay Nahin Hain Lamhay Haseen
Yeh Naseeyat Hai Hidaayat Nahin
Sapno Kee Sehar Mein
Jazbon Kay Shehar Mein
Meray Toottey Aashian Ko
Kyoon Aur Torhay Jaa Rahay Ho
Raasta Bhi Thhak Chukaa Hai
Meray Kaddmon Kay Tallay
Gir Chukay Hain Minaar Magar
Girnaa Anaa Kaa Abhi Baaki Hai
Oomeed Kay Saraab Mein
Roz Zindagi Panaptee Hai
Inquilaab Kay Junoon Mein
Fir Roz Shahaadat Hotee Hai
Inn Khayaalon Kay Swaalon Kaa
Koee Jawaab Saa Dhoondhtaa Hoon Main
Rehguzar Sey Manzil Kaa
Koee Raastaa Saa Poochhta Hoon Main
Arzooein Khwaabon Mein Reh Gayeen
Soch Soch Mein Hee Gumm Ho Gayee
Har Shabb Tujhay Dhoondhnay Mein Guzree
Aur Chahtein Dastak Daytee Reh Gayeen
Naa Main Kisee Mazhab Mein Hoon
Na Main Kisee Kitaab Mein hoon
Main Hijar Kay Hijaab Mein Hoon
Chahat Ko Jo Tarastaa Rahaa
Main Uss Dil-e-Betaab Mein Hoon
Ulfat Ko Itnaa Gum Na Doh
Ki Ruk Jaaye Chalnay Sey Pehlay Woh
Shayad Tumhein Bhi Raas Aa Jaaye
Mohabbat Karnay Kee Tum Koshish Toh Karo
Kaagaz Kay Phoolon Sung
Mehfil Jumee Hai
Bahut Kuchh Aalam Mein Hai Yahaan
Sirf Teri Khushboo Kee Hee Kami Hai
Traasha Hai Guzaray Lamhon Nay Yoon
Koee Baadshah Naa Koee Nizaam Hoon Main
Waqt Kaa Pehraa Dey Rhaa
Apnay Safar Kaa Ghulaam Hoon Main
Na Rukaa Na Woh Gyaa Kahin
Ek Khwab Thhaa Yaan Thhaa Ajnabi
Na Kraaee Taareef Na Ptaa Diyaa
Sarghoshi Sey Kuchh Btaa Diyaa
Meri Khaamoshi Meri Bayrukhi Toh Nahin
Chup Rehnay Ki Wajeh Majboori Toh Nahin
Har Swaal Kaa Jawaab Ho
Yeh Koee Zaroori Toh Nahi
Jahan Pey Main Aaj Hoon
Naa Jaanay Kyun Naraaz Hoon
Katti Patang Ki Tarah
Hawaa Kaa Main Mauhtaaj Hoon