Zarraa Zarraa Meraa
Kehtaa Hai Har Zubaan Mein
Jhoothha Thhaa Har Sapnaa
Dekhaa Jo Iss Jahaan Mein
Lautt Aaye Hain Hum
Dobaaraa Gardish-e-Hwaa Mein
Dbaa Hai Zehen Jahan Sabkaa
Pahaarhoun Sii Oonchee Anaa Mein
Sochaa Thhaa Safar Hogaa
Mukkamal Kisee Makaam Mein
Chaand Bhlaa Naa Detay
Ek Sitaaraa Hee Kaafi Thha Inaam Mein
Dhoondhtay Hain Hum Khud Ko
Teri Nazar Kay Nishaan Mein
Itnay Kareeb Aakar Bhi
Kyun Nahin Hai Pehchaan Mein
Kaisaa Marz Dey Gaye Ho
Asar Nahin Kisee Dwaa Mein
Aur Karaar Dey Jaaye Koee
Dum Nahin Kisee Baad-e-Sabaa Mein
Gumm Hain Kyun Kirdaar
Jo Kabhi Thhey Iss Daastaan Mein
Kahin Nikal Toh Nahin Gaye
Chupkay Sey Guzaray Caarvaan Mein
Hairat Mein Nahin Hoon Main
Hoon Bebassee Kay Imtehaan Mein
Chalaataa Koee Aur Hai Mujhay
Main Toh Teer Hoon Qamaan Mein
Jeena Ab Mushkil Hai
Iss Zehreelay Zmaan Mein
Marna Bhi Aaj Naamumkin Hai Gumnaam
Qayaamat Hai Aaj Qabaristaan Mein
Qayaamat Hai Aaj Qabaristaan Mein
Qayaamat Hai Aaj Qabaristaan Mein
***************Meanings**************
Gardish-e-Aayaam - Days of Misfortune
Zarraa - Particle, Speck
Gardish-e-Hwaa - Air of Misfortune
Anaa - Ego
Baad-e-Sabaa - Morning Breeze
********************************************
गर्दिश-ए-अयाम
ज़र्रा ज़र्रा मेरा
कहता है हर ज़ुबान में
झूठा था हर सपना
देखा जो इस जहान में
लौट आए हैं हम
दोबारा गर्दिश-ए-हवा में
दबा है ज़हन जहां सबका
पहाड़ों सी ऊँची अना में
सोचा था सफ़र होगा
मुकम्मल किसी मकाम में
चांद भला न देते
एक सितारा ही काफ़ी था इनाम में
ढूंढते हैं हम खुद को
तेरी नज़र के निशान में
इतने करीब आकर भी
क्यों नहीं है पहचान में
कैसा मर्ज़ दे गए हो
असर नहीं किसी दवा में
और करार दे जाए कोई
दम नहीं किसी बाद-ए-सबा में
गुम हैं क्यों किरदार
जो कभी थे इस दास्तान में
कहीं निकल तो नहीं गए
चुपके से गुज़रे कारवाँ में
हैरत में नहीं हूँ मैं
हूँ बेबसी के इम्तिहान में
चलाता कोई और है मुझे
मैं तो तीर हूँ कमान में
जीना अब मुश्किल है
इस ज़हरीले ज़मां में
मरना भी आज नामुमकिन है गुमनाम
कयामत है आज कब्रिस्तान में
कयामत है आज कब्रिस्तान में
कयामत है आज कब्रिस्तान में
***************Meanings**************
गर्दिश-ए-अयाम - Days of Misfortune
ज़र्रा - Particle, Speck
गर्दिश-ए-हवा - Air of Misfortune
अना - Ego
बाद-ए-सबा - Morning Breeze
********************************************