Ek Lamhaa Udaasi Kaa Hai Youn Bhi
Jiss Mein Shaamil Aaj Hai Tu Bhi
Iss Lamhay Kaa Humsafar Hai Tu Bhi
Aur Ek Qaatil Iss Mein Hai Tu Bhi
Iss Mein Samaayaa Hai Tu Jitnaa
Utnaa Yeh Basar Hai Tujh Mein Bhi
Teri Har Ranjish Aur Shikaayat Yeh
Har Khwaish Aur Teri Har Aarzoo Bhi
Lathh-Pathh Dard Sey Mukkamal Hai Yeh
Teray Maraz Ki Hai Yeh Dwaa Bhi
Jiss Soch Mein Teri Soch Hai Dhoobi
Ous Behar Mein Ho Kar Aayaa Yeh Bhi
Chalta Hai Yeh Teray Dil Ki Taraah
Iss Kee Dharhkanay Mehsoos Kar Tu Bhi
Kehta Nahi Kuchh Kissi Sey Yeh
Iss Kee Khaamoshi Ko Sunn Tu Bhi
Teri Yaadon Kaa Hai Yeh Ek Sandook
Kabhi Fursat Mein Iss Ko Titoll Tu Bhi
Tu Hai Iss Sey Aur Yeh Tujh Sey Hee
Iss Rishtay Ki Yehi Toh Hai Khoobi
Kaatt Kay Pal Pal Tujh Ko Yoon Hee
Gumnaam Katt Jayegaa Yeh Lamhaa Khud Bhi
***************Meanings**************
Basar - Vision, Insight
********************************************
लम्हा-ब-लम्हा
एक लम्हा उदासी का है यूँ भी
जिस में शामिल आज है तू भी
इस लम्हे का हमसफ़र है तू भी
और एक कातिल इस में है तू भी
इस में समाया है तू जितना
उतना ये बसर है तुझ में भी
तेरी हर रंजिश और शिकायत ये
हर ख़्वाहिश और तेरी हर आरज़ू भी
लथ-पथ दर्द से मुकम्मल है ये
तेरे मर्ज की है ये दवा भी
जिस सोच में तेरी सोच है डूबी
उस बहर में होकर आया ये भी
चलता है ये तेरे दिल की तरह
इसकी धड़कनें महसूस कर तू भी
कहता नहीं कुछ किसी से ये
इसकी ख़ामोशी को सुन तू भी
तेरी यादों का है ये एक संदूक
कभी फुर्सत में इसको टिटोल तू भी
तू है इससे और ये तुझसे ही
इस रिश्ते की यही तो है खूबी
काट के पल पल तुझको यूँ ही
गुमनाम कट जाएगा ये लम्हा खुद भी
***************Meanings**************
बसर - Vision, Insight
********************************************