Karishmaa-e-Naseeb

Kabhi Dooriyon Kay Darmiyaan

Kabhi Qurbaton Kay Kareeb Sey

Unn Dharhkano Ko Aashiaan

Kabhi Mil Gaye Naseeb Sey

 

Jo Duaayein Mainay Maangee Theen

Kabhi Haalaat Jab Ajeeb Thhay

Jo Daulatein Naa Dey Sakeen

Kabhi Mil Gayeen Gareeb Sey

 

Jo Pyaar Mein Judaa Huay

Kabhi Nafraton May Mil Gaye

Jo Dhoondhtay Thhay Falak Mein 

Kabhi Zameen Pey Woh Mil Gaye

 

Jo Raaz Dil Nay Chhupaa Liyaa

Kabhi Hawaaein Woh Bataa Gayeen

Jo Raahaton Sey Maangtay Rahay

Kabhi Mushkilein Thhmaa Gayeen

 

Jo Mehfilon Mein Mehroom Rhaa

Kabhi Khalwaton Nay Samjhaa Diyaa

Jo Haqeeqat Mein Talaashtay Rahay

Kabhi Khwaabon Nay Dikhaa Diyaa

 

Jo Angaaray Naa Jlaa Sakay

Kabhi Bahaarein Aag Lagaa Gayeen

Jo Daastaan Naa Keh Saki

Kabhi Khaamoshiyaan Sunaa Gayeen

 

Jo Baghaawatein Naa Kar Sakeen

Rasam-e-Ulfat Nay Kraa Diyaa

Bardaasht Kee Beyreham Haddon Nay

Gumnaam Ko Yoon Hee Hraa Diyaa

Gumnaam Ko Yoon Hee Hraa Diyaa

Gumnaam Ko Yoon Hee Hraa Diyaa

***************Meanings**************

Qurbaton – Closeness

Mehroom - Deprived

Khalwaton - Loneliness

Rasam-e-Ulfat – Tradition Of Love

********************************************

करिश्मा-ए-नसीब 

कभी दूरियों के दरमियान 

कभी कु रबतों के करीब से 

उन धड़कनों को आशियाँ 

कभी मिल गए नसीब से 

जो दुआएं मैंने माँगी थीं 

कभी हालात जब अजीब थे 

जो दौलतें न दे सकीं 

कभी मिल गईं गरीब से 

जो प्यार में जुदा हुए 

कभी नफरतों में मिल गए 

जो ढूँढते थे फ़लक में 

कभी ज़मीन पे वो मिल गए 

जो राज़ दिल ने छुपा लिया 

कभी हवाएं वो बता गईं 

जो राहतों से मांगते रहे 

कभी मुश्किलें थमा गईं 

जो महफ़िलों में महरूम रहा 

कभी खल्वतों ने समझा दिया 

जो हकीकत में तलाशते रहे 

कभी ख़्वाबों ने दिखा दिया 

जो अंगारे न जला सके 

कभी बहारें आग लगा गईं 

जो दास्ताँ न कह सकी 

कभी ख़ामोशियाँ सुना गईं 

जो बग़ावतें न कर सकीं 

रस्म-ए-उल्फ़त ने करा दिया 

बरदाश्त की बेरहम हद्दों ने 

गुमनाम को यूं ही हरा दिया

***************Meanings**************

कुरबतों - Closeness 

महरूम - Deprived 

खल्वतों – Loneliness

रस्म-ए-उल्फ़त - Tradition of love

********************************************