Ruk Jaatey Hain Meray Alfaaz
Zubaan Tak Aanay Sey
Ruktay Nahin Hain Yeh Jazbaat
Ashq Bann Kar Aanay Sey
Ajnabi Bann Kar Aaye Thhay Jo
Lagtay Hain Abh Kuchh Pehchaanay Sey
Yaad Aatey Hain Aur Bhi
Humko Woh Bhul Jaanay Sey
Roothh Naa Jaayein Woh Humsey
Aur Phir Maanay Naa Manaanay Sey
Iss Liye Teh Keeya Hai Humnay
Ruk Jaayengey Hum Ounko Bulaanay Sey
Hairat Mein Tak Rahay Thhay Hum
Aur Carvaan Nikal Gaye Anjaanay Sey
Intezaar Kee Intehaa Kraa Dee Aur
Inkaar Kar Diyaa Hum Ko Aazmaanay Sey
Koee Wajah Nahi Naa Karaar Koee Kasoor
Sunaa Diye Kuchh Kissay Puraanay Sey
Chalay Gaye Khud Aur
Rok Diyaa Humko Kahin Jaanay Sey
Maang Kar Toh Dekh Leytey
Ek Baar Iss Diwaanay Sey
Dil Toh Kyaa Zarraa Zarraa Jaan
Luttaa Deytey Aapkay Farmaanay Sey
Sochaa Naa Thhaa Sazaa Hogi
Dil Ko Aisey Behlaanay Sey
Meraa Bhi Thhaa Taaluk Ounsey
Jaisey Shamaa Kaa Parwaanay Sey
Koee Khwaaish Nahin Hai Abh
Naa Koee Lagaav Hai Zamaanay Sey
Koee Gham Nahin Gar Woh Jeetein
Beyshaq Humein Baar Baar Haraanay Sey
Ek Dariyaa Bhi Kam Hai
Iss Dil Mein Samaanay Sey
Kyun Naap Rahay Ho Meri Mohabbat
Iss Adnay Paimaanay Sey
Kyaa Ley Jaayegaa Koee Abh
Iss Sunsaan Veeraanay Sey
Dil Jorhnay Aaye Thhay Jo Gumnaam
Torh Gaye Woh Ek Bahaanay Sey
Torh Gaye Woh Ek Bahaanay Sey
Torh Gaye Woh Ek Bahaanay Sey
***************Meanings**************
Ulfat - Love
Alfaazz - Words
Jazbaat - Emotions
Ashq - Tears
Teh - To Decide
Hairat - Surprise
Tak - See
Inteyhaa - Limit
Aazmaanay - To Test
Zarraa - Speck
Adnay - Petty
Veeraanay - Wilderness
********************************************
पैमाना-ए-उल्फ़त
रुक जाते हैं मेरे अल्फाज़
ज़ुबान तक आने से
रुकते नहीं हैं ये जज़्बात
अश्क बन कर आने से
अजनबी बन कर आए थे जो
लगते हैं अब कुछ पहचाने से
याद आते हैं और भी
हमको वो भूल जाने से
रूठ न जाएं वो हम से
और फिर माने न मनाने से
इसलिए तह किया है हमने
रुक जाएंगे हम उनको बुलाने से
हैरत में तक रहे थे हम
और कारवां निकल गए अनजाने से
इंतज़ार की इन्तहा करा दी और
इनकार कर दिया हमको आज़माने से
कोई वजह नहीं न करार कोई कसूर
सुना दिए कुछ किस्से पुराने से
चले गए खुद और
रोक दिया हम को कहीं जाने से
मांग कर तो देख लेते
एक बार इस दीवाने से
दिल तो क्या ज़र्रा-ज़र्रा जान
लुटा देते आपके फ़रमाने से
सोचा न था सज़ा होगी
दिल को ऐसे बहलाने से
मेरा भी था तालुक़ उन से
जैसे शमा का परवाने से
कोई ख्वाहिश नहीं है अब
न कोई लगाव है ज़माने से
कोई ग़म नहीं गर वो जीतें
बेशक हमें बार-बार हराने से
एक दरिया भी कम है
इस दिल में समाने से
क्यों नाप रहे हो मेरी मुहब्बत
इस अदने पैमाने से
क्या ले जाएगा कोई अब
इस सुनसान वीराने से
दिल जोड़ने आए थे जो गुमनाम
तोड़ गए वो एक बहाने से
***************Meanings**************
उल्फ़त - Love
अल्फाज़़ - Words
जज़्बात - Emotions
अश्क - Tears
तह - To Decide
हैरत - Surprise
तक - See
इन्तहा - Limit
आज़माने - To Test
ज़र्रा - Speck
अदने - Petty
वीराने - Wilderness
********************************************