Naa Main Kisee Mazhab Mein Hoon
Na Main Kisee Kitaab Mein hoon
Main Hijar Kay Hijaab Mein Hoon
Chahat Ko Jo Tarastaa Rahaa
Main Uss Dil-e-Betaab Mein Hoon
Naa Main Teri Nazar Mein Hoon
Naa Main Khud Kay Sabr Mein Hoon
Main Haalaat Kay Asar Mein Hoon
Smajh Skaa Naa Koee Jo
Main Uss Ouljhay Huay Safar Mein Hoon
Naa Main Kisee Fizaa Mein Hoon
Naa Main Kisee Khizaa Mein Hoon
Main Ulfat-e-Sazaa Mein Hoon
Tujhay Salaamat Rakhay Jo
Main Uss Rab Kee Razaa Mein Hoon
Naa Main Kahin Bezaar Hoon
Naa Main Kisee Karaar Mein Hoon
Main Intehaa-e-Gubaar Mein Hoon
Jahan Pey Aashiaan Hai Teraa
Main Ab Bhi Uss Dyaar Mein Hoon
Naa Main Kisee Shaam Mein Hoon
Naa main Kisee Subah Mein Hoon
Main Pyaar Kee Har Zubaan Mein Hoon
Chhoo Kar Jaaye Tum Ko Jo
Main Har Uss Hawaa Mein Hoon
Naa Main Hairaan-o-Pareshaan Hoon
Naa Main Kisee Gumaan Mein Hoon
Main Hairat-e-Byaan Mein Hoon
Arsay Sey Jo Tanhaa Hai
Main Uss Manzil-e-Mukaam Mein Hoon
Naa Main Kisee Qaid Mein Hoon
Naa Main Dil-e-Rihaa Mein Hoon
Main Bazm-e-Hyaa Mein Hoon
Sunee Nahi Jo Kabhi Kahin
Main Uss Dard-e-Daastaan Mein Hoon
Naa Main Kisee Sehraa Mein Hoon
Naa Main Kisee Behar Main Hoon
Main Abb Bhi Ousee Shehar Mein Hoon
Jahaan Rahat Kabhi Aayee Nahin
Main Uss Burstay Qehar Mein Hoon
Naa Main Iss Zameen Mein Hoon
Naa Main Iss Zamaan Mein Hoon
Main Carvaan-e-Rwaan Mein Hoon
Idhar Udhar Main Ghoomtaa
Main Teray Raastay Kee Raah Mein Hoon
Naa Main Kisee Jeet Mein Hoon
Naa Main Kisee Haar Mein Hoon
Main Abb Bhi Teray Intezaar Mein Hoon
Yakeen Dilaaye Kaisay Gumnaam
Main Har Pal Teray Pyaar Mein Hoon
Main Har Pal Teray Pyaar Mein Hoon
Main Har Pal Teray Pyaar Mein Hoon
*********************Meanings***********************
Hijar - Separation
Hijaab – Veil
Ulfat-e-szaa - Punishment of love
Bezaar – Frustration
Karaar - Relief
Intehaa-e-Gubaar – Extreme Grief
Hairaan-o-Pareshaan- surprised and worried
Hairat-e-Byaan – Expression of disbelief
Bazm-e-Hyaa - In Shyness of a Gathering
Sehraa – Desert
Dard-e-Daastaan - Painful story
Behar - Ocean
Carvaan-e-Rwaan – Procession that has left
****************************************************
तलाश-ए-ख़ुदी
न मैं किसी मज़हब में हूँ
न मैं किसी किताब में हूँ
मैं हिजर के हिजाब में हूँ
चाहत को जो तरसता रहा
मैं उस दिल-ए-बेताब में हूँ
न मैं तेरी नज़र में हूँ
न मैं खुद के सब्र में हूँ
मैं हालात के असर में हूँ
समझ सका न कोई जो
मैं उस उलझे हुए सफ़र में हूँ
न मैं किसी फ़िज़ा में हूँ
न मैं किसी खिज़ा में हूँ
मैं उल्फ़त-ए-सज़ा में हूँ
तुझे सलामत रखे जो
मैं उस रब की रज़ा में हूँ
न मैं कहीं बेज़ार हूँ
न मैं किसी करार में हूँ
मैं इन्तहा-ए-ग़ुबार में हूँ
जहाँ पे आिशयाँ है तेरा
मैं अब भी उस दयार में हूँ
न मैं किसी शाम में हूँ
न मैं किसी सुबह में हूँ
मैं प्यार की हर ज़ुबान में हूँ
छू कर जाए तुम को जो
मैं हर उस हवा में हूँ
न मैं हैरान-ओ-परेशान हूँ
न मैं किसी गुमान में हूँ
मैं हैरत-ए-बयान में हूँ
अरसे से जो तनहा है
मैं उस मंज़िल-ए-मकाम में हूँ
न मैं किसी क़ैद में हूँ
न मैं दिल-ए-रिहा में हूँ
मैं बज़्म-ए-हया में हूँ
सुनी नहीं जो कभी कहीं
मैं उस दर्द-ए-दास्ताँ में हूँ
न मैं किसी सहरा में हूँ
न मैं किसी बहर में हूँ
मैं अब भी उसी शहर में हूँ
जहां राहत कभी आई नहीं
मैं उस बरसते क़हर में हूँ
न मैं इस ज़मीन में हूँ
न मैं इस ज़माँ में हूँ
मैं कारवाँ-ए-रवाँ में हूँ
इधर उधर मैं घूमता
मैं तेरे रास्ते की राह में हूँ
न मैं किसी जीत में हूँ
न मैं किसी हार में हूँ
मैं अब भी तेरे इंतज़ार में हूँ
यकीन दिलाए कैसे गुमनाम
मैं हर पल तेरे प्यार में हूँ
*********************Meanings***********************
हिजर - Separation
हिजाब - Veil
उल्फ़त-ए-सज़ा - Punishment of love
बेज़ार - Frustration
करार - Relief
इन्तहा-ए-ग़ुबार - Extreme grief
हैरान-ओ-परेशान - Surprised and worried
हैरत-ए-बयान - Expression of disbelief
बज़्म-ए-हया - In shyness of a gathering
सहरा - Desert
दर्द-ए-दास्ताँ - Painful story
बहर - Ocean
कारवाँ-ए-रवाँ - Procession that has left
****************************************************