Ulfat Ko Itnaa Gum Na Doh
Ki Ruk Jaaye Chalnay Sey Pehlay Woh
Shayad Tumhein Bhi Raas Aa Jaaye
Mohabbat Karnay Kee Tum Koshish Toh Karo
Yeh Khaamoshi Kee Aahatt Kahin
Naa Leh Jaaye Meray Sun Nay Kee Salaahiyat
Baaton Baaton Mein Kahin
Mujhsay Bhi Baat Karnay Kee Tum Koshish Toh Karo
Taqqaluf Mein Guzray Yeh Baaki Lamhein
Ek Baar Toh Phir Sey Dekho Humein
Outhh Tee Nahin Agar Nazar Tumhaari
Churaanay Kee Isko Tum Koshish Toh Karo
Kis Morh Par Aayein Hain Hum
Yaadon Kaa Saamaan Laayein Hain Hum
Muddat Sey Rokee Gum-e-Dil Nay Jo
Ounn Saanson Ko Chlaanay Kee Tum Koshish Toh Karo
Manzil Tumhein Milay Naa Jab
Bandh Ho Jaayein Raahein Sab
Iss Dil Kay Darwaazay Par
Dastak Denay Kee Tum Koshish Toh Karo
Kal Hoon Main Yaan Hoon Nahin
Iss Kee Parwaah Zamanay Ko Nahin
Reh Jayengey Meray Yeh Bol Yaheen
Inhein Dhauraanay Kee Tum Koshish Toh Karo
Teree Mehfil Mein Toh Main Bayzubaan Hoon
Waisay Toh Main Gumnaam Hoon
Kisee Naam Sey Bhi Lekin Mujhko
Aawaaz Denay Kee Tum Koshish Toh Karo
Koshish Toh Karo
Koshish Toh Karo
*********************Meanings***********************
Ulfat - Love
Aahatt - Sound
Salaahiyat - Ability
Dastak - Knock
********************************************************
कोशिश तो करो
उल्फ़त को इतना ग़म न दो
कि रुक जाए चलने से पहले वो
शायद तुम्हें भी रास आ जाए
मुहब्बत करने की तुम कोशिश तो करो
ये ख़ामोशी की आहट कहीं
न ले जाए मेरे सुनने की सलाहियत
बातों बातों में कहीं
मुझसे भी बात करने की तुम कोशिश तो करो
तक़ल्लुफ़ में गुज़रे ये बाकी लम्हे
एक बार तो फिर से देखो हमें
उठती नहीं अगर नज़र तुम्हारी
चुराने की इसको तुम कोशिश तो करो
किस मोड़ पर आए हैं हम
यादों का सामान लाएं हैं हम
मुद्दत से रोकी ग़म-ए-दिल ने जो
उन साँसों को चलाने की तुम कोशिश तो करो
मंज़िल तुम्हें मिले न जब
बंद हो जाएँ राहें सब
इस दिल के दरवाज़े पर
दस्तक देने की तुम कोशिश तो करो
कल हूँ मैं या हूँ नहीं
इसकी परवाह ज़माने को नहीं
रह जाएंगे मेरे ये बोल यहीं
इन्हें दोहराने की तुम कोशिश तो करो
तेरी महफ़िल में तो मैं बेज़ुबान हूँ
वैसे तो मैं गुमनाम हूँ
किसी नाम से भी लेकिन मुझको
आवाज़ देने की तुम कोशिश तो करो
*********************Meanings********************
उल्फ़त - Love
आहट - Sound
सलाहियत - Ability
दस्तक - Knock
*******************************************************