Meray Dil Kee Sarhkein Yeh
Jaati Hain Jaanay Kahaan
Miltee Hain Kabhi Chauraahay Pey
Bichharhti Hain Kabhi Doraahay Pey
Lekar Apnee Hasratein Yeh
Rehtee Hai Jaanay Kahaan
Kabhi Ttoottay Qisii Rahey Pey
Kabhi Ghair Kahin Kiraaye Pey
Khayaaloun Kee Ouljhan Mein Yeh
Oulajhtee Hain Jaanay Kahaan
Kabhi Husn Kay Bulaaye Pey
Kabhi Dil Qisii Anchaahey Pey
Junoon Kay Fitoor Mein Yeh
Goumm Jaati Jaanay Kahaan
Kabhi Humsafar Kay Saaye Mein
Kabhi Ajnabee Kee Raaye Mein
Safar Kee Thhakaan Mein Yeh
Phass Jaati Jaanay Kahaan
Kabhi Hwaaoun Kay Paaye Mein
Kabhi Rishtey Qisii Paraaye Mein
Jazboun Kee Galiyoun Mein Yeh
Sehm Jaati Jaanay Kahaan
Kabhi Rotay Hasaaye Dey
Kabhi Hanstay Rulaaye Dey
Dard Kay Dariyaa Mein Yeh
Beh Jaati Jaanay Kahaan
Kabhi Saagar-o-Meena (Wine Container) Outhhaye Kay
Kabhi Oulfat Apnee Luttaye Kay
Rastoun Kee Gardish Mein Yeh
Phirtee Hain Jaanay Kahaan
Kabhi Ranjishoun Kee Haaye Mein
Kabhi Gumnaam Qisii Saraaye (Rest House) Mein
राह-ए-दिल (Heart’s Pathway)
मेरे दिल की सड़कें ये
जाती हैं जाने कहां
मिलती हैं कभी चौराहे पे
बिछड़ती हैं कभी दोराहे पे
लेकर अपनी हसरतें ये
रहती हैं जाने कहां
कभी टूटे किसी राहे पे
कभी ग़ैर कहीं किराए पे
ख़्यालों की उलझन में ये
उलझती हैं जाने कहां
कभी हुस्न के बुलाए पे
कभी दिल किसी अनचाहे पे
जुनून के फितूर में ये
गुम जाती जाने कहां
कभी हमसफ़र के साए में
कभी अजनबी की राए में
सफ़र की थकान में ये
फस जाती जाने कहां
कभी हवाओं के पाए में
कभी रिश्ते किसी पराए में
जज़्बों की गलियों में ये
सहम जाती जाने कहां
कभी रोते हसाए दे
कभी हँसते रुलाए दे
दर्द के दरिया में ये
बह जाती जाने कहां
कभी सागर-ओ-मीना (Wine Container) उठाए के
कभी उल्फ़त अपनी लुटाए के
रस्तों की गर्दिश में ये
फिरती हैं जाने कहां
कभी रंजिशों की हाए में
कभी गुमनाम किसी सराए (Rest House) में