Raasta Bhi Thhak Chukaa Hai
Meray Kaddmon Kay Tallay
Gir Chukay Hain Minaar Magar
Girnaa Anaa Kaa Abhi Baaki Hai
Gillay Hain Ranjishein Hain
Laakh Shikaayatein Hain Chaahay
Chhorh Gaye Hain Sab Humsafar
Bas Ek Humnwaa Abhi Baaki Hai
Hasratein Aarzooein Apni Jagaah
Behar-e-Saraab Mein Kaayam Hain
Oumeed Bayshak Beyghar Ho Gyee
Magar Kuchh Armaan Abhi Baaki Hain
Aankhon Kee Rawshnee Ko
Dhundhlaa Keeya Hai Aansooaon Nay
Bujh Gaye Hain Sab Chiraag
Bas Ek Shamaa Abhi Baaki Hai
Iss Saagar-o-Meena Kee Nahin
Teri Gair Maujoodgee Kee
Iss Rangeen Mehfil Mein
Shaam-e-Tanhaa Abhi Baaki Hai
Beychain Iss Dil Kee Dharhkanay
Kaisay Teh Karaingee Yeh
Arsey Sey Jin Faaslon Kee
Dooreeyaan Abhi Baaki Hain
Ruk Kar Khaamosh Baithhee Hain
Intezaar Kee Beyzaar Gharheeyaan
Badaltay Haalaaton Kee Jahaan
Majbooreeyaan Abhi Baaki Hain
Gardish Mein Aalam Hai
Hwaayein Bhee Barkhilaaf Hain
Jannat Ko Talaash Rhaa Magar
Ek Lamhaa Abhi Baaki Hai
Ek Baar Toh Phir Milengey
Hokay Rooh-b-Rooh Teray
Marnaa Aaj Naamumkin Hai
Saanson Kaa Ruknaa Abhi Baaki Hai
Maujon Nay Masti Mein Maaraa Hai
Kinaaron Nay Bhi Kahaan Pukaaraa Hai
Tootay Huay Toh Zamaanaa Ho Gyaa Gumnaam
Bas Fanaa Hona Abhi Baaki Hai
Bas Fanaa Hona Abhi Baaki Hai
Bas Fanaa Hona Abhi Baaki Hai
***************Meanings**************
Anaa - Ego
Humnwaa - Companion
Behar-e-Saraab - Ocean of Illusion
Saagar-o-Meena - Container of Alcohol
Shaam-e-Tanhaa - A Lonely Evening
Beyzaar - Frustrated
Gardish - Turmoil
Rooh-b-Rooh - Face To Face
Fanaa - Perish
********************************************
अभी बाकी है
रास्ता भी थक चुका है
मेरे कदमों के तले
गिर चुके हैं मिनार मगर
गिरना अना का अभी बाकी है
गिले हैं रंजिशें हैं
लाख शिकायतें हैं चाहे
छोड़ गए हैं सब हमसफ़र
बस एक हमनवा अभी बाकी है
हसरतें आरज़ुएं अपनी जगह
बहर-ए-सराब में कायम हैं
उम्मीद बेशक बेघर हो गई
मगर कुछ अरमान अभी बाकी हैं
आँखों की रौशनी को
धुंधला किया है आँसुओं ने
बुझ गए हैं सब चिराग
बस एक शमा अभी बाकी है
इस सागर-ओ-मीना की नहीं
तेरी ग़ैर मौजूदगी की
इस रंगीन महफ़िल में
शाम-ए-तनहा अभी बाकी है
बेचैन इस दिल की धड़कनें
कैसे तह करेंगी ये
अरसे से जिन फासलों की
दूरियां अभी बाकी हैं
रुक कर ख़ामोश बैठी हैं
इंतज़ार की बेज़ार घिड़यां
बदलते हालात की जहां
मजबूरियां अभी बाकी हैं
गर्दिश में आलम है
हवाएँ भी बरख़िलाफ़ हैं
जन्नत को तलाश रहा मगर
एक लम्हा अभी बाकी है
एक बार तो फिर मिलेंगे
हो के रूह-ब-रूह तेरे
मरना आज नामुमकिन है
साँसों का रुकना अभी बाकी है
मौजों ने मस्ती में मारा है
किनारों ने भी कहाँ पुकारा है
टूटे हुए तो ज़माना हो गया गुमनाम
बस फ़ना होना अभी बाकी है
***************Meanings**************
अना - Ego
हमनवा - Companion
बहर-ए-सराब - Ocean of illusion
सागर-ओ-मीना - Container of alcohol
शाम-ए-तनहा - A lonely evening
बेज़ार - Frustrated
गर्दिश - Turmoil
रूह-ब-रूह - Face to face
फ़ना - Perish
********************************************