Arzooein Khwaabon Mein Reh Gayeen
Soch Soch Mein Hee Gumm Ho Gayee
Har Shabb Tujhay Dhoondhnay Mein Guzree
Aur Chahtein Dastak Daytee Reh Gayeen
Khaamosh Nazarein Yeh Kya Keh Gayeen
Khairaat Mein Mileen Woh
Teri Dostee Kee Anmol Furstein
Oodaasiyon May Hee Reh Gayeen
Woh Ayaam-e-Ulfat Hai Kahin
Yaan Phir Lagta Hai Bus Yoon Hee
Woh Pyaar Kee Zarooratein
Gummon Kay Lamhon May Beh Gayeen
Naa Mainay Kuchh Kahaa Kahin
Oosnay Bhi Kuchh Suna Nahin
Ranjishon Hee Ranjishon Mein Bas
Guzaarishein Bhi Ankaheen Reh Gayeen
Naa Rehguzar Hee Milaa Kahin
Naa Kaarvaan Kee Talaash Thhee
Humsafar Kee Humnawaaee Khojtay
Manzilein Bhi Tanhaa Reh Gayeen
Likheen Thheen Jo Meri Jabeen
Woh Badnaseeb Takdeerein Thheen
Toofaan Mein Woh Kashtiaan
Mehroom-e-Sahil Reh Gayeen
Rawaan Naa Ho Sakeen
Jumbishein Labhon Say Jo
Saanson Kay Dhooyein Mein Hee
Woh Guft-Gooyein Reh Gayeen
Luttaa Thhaa Pyaar Jin Mein Kaheen
Woh Bayqadar Hawaaein Thheen
Hilaa Dee Jinno Nay Sar-Zameen Gumnaam
Yeh Dharhknay Oohnay Bhee Seh Gayeen
Yeh Dharhknay Oohnay Bhee Seh Gayeen
Yeh Dharhknay Oohnay Bhee Seh Gayeen
***************Meanings**************
Shabb - Night
Ayaam-e-Ulfat – Days Of Love
Humnawaaee - Togetherness
Jabeen - Forehead
Mehroom-e-Sahil – Unable To Reach
The Banks
Jumbishein- Fine Movement
***************************************************
आरज़ू
आरज़ुएं ख़्वाबों में रह गईं
सोच सोच में ही गुम हो गई
हर शब तुझे ढूँढने में गुज़री
और चाहतें दस्तक देती रह गईं
ख़ामोश नज़रें ये क्या कह गईं
ख़ैरात में मिलीं वो
तेरी दोस्ती की अनमोल फ़ुरसतें
उदासियों में ही रह गईं
वो आयाम-ए-उल्फ़त हैं कहीं
या फिर लगता है बस यूँ ही
वो प्यार की ज़रूरतें
ग़मों के लम्हों में बह गईं
न मैंने कुछ कहा कहीं
उसने भी कुछ सुना नहीं
रंजिशों ही रंजिशों में बस
गुज़ारिशें भी अनकहीं रह गईं
न रहगुज़र ही मिला कहीं
न कारवां की तलाश थी
हमसफ़र की हमनवाई खोजते
मंज़िलें भी तनहा रह गईं
लिखी थीं जो मेरी जबीं
वो बदनसीब तकदीरें थीं
तूफ़ान में वो किश्तयाँ
महरूम-ए-साहिल रह गईं
रवां न हो सकीं
जुम्बिशें लबों से जो
सांसों के धुएं में ही
वो गुफ्तगूएं रह गईं
लुटा था प्यार जिन में कहीं
वो बेकदर हवाएं थीं
हिला दी जिन्होंने सर-ज़मीन गुमनाम
ये धड़कनें उन्हें भी सह गईं
***************Meanings**************
शब - Night
आयाम-ए-उल्फ़त - Days of love
हमनवाई - Togetherness
जबीं - Forehead
महरूम-ए-साहिल - Unable to reach the banks
जुम्बिशें - Fine movements
***************************************************