Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Meri Khaamoshi Meri Bayrukhi Toh Nahin
Chup Rehnay Ki Wajeh Majboori Toh Nahin
Har Swaal Kaa Jawaab Ho
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Maanaa Teray Baghair Zindagi Adhoori Hee Sahi
Jitnaa Bhi Chahay Yeh Dil Magar
Har Shaam Teri Bazam Mein Hee Guzray
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Zehar Peekar Bhi Yahan Jee Letay Hain Log
Dikhti Hai Baat Jo Woh Poori Toh Nahin
Har Marz Kee Dawaa Ho
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Maanaa Meri Khaamoshi Mein Nahin Meri Aawaaz Saa Dum
Lekin Chup Reh Kar Bhi Ho Sakta Hai Izhaar-e-Gum
Dard Kay Ehsaas Kay Leeye Lub Sey Uff Niklay
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Sehraa Mein Bhi Teri Yaad Sey Khil Saktay Hain
Teray Pehlu Kay Gulab
Unkay Khilanay Kay Liye Bahaar Ka Hona
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Door Jatay Ho Tum Hokar Mujhsay Khfaa
Dil Kay Kareeb Aanay Kay Leeye
Tera Nazdeek Hona
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Kashti Kee Sahil Sey Kitnee Kyun Naa Ho Dooree
Mauj Kay Janaazay Par Tair Jaata Hai Safar
Aur Doobnay Kay Leeye Samundar Kaa Hona
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
Tum Ko Ranjish Hai Kay Main Maujood Nahin
Mehfil Sajtee Hai Magar Teray Noor Sey Hee
Gumnaam Kaa Hona Yaan Naa Hona
Yeh Koee Zaroori Toh Nahin
***************Meanings**************
Bayrukhi - Indifference
Bazam - In company
Izhaar-e-Gum - Expression of sorrow
Sehraa - Desert
Pehlu - Closeness
Sahil - Banks of river
Mauj- Wave
Janaazay - Funeral procession
Ranjish - Grievance
********************************************
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
मेरी ख़ामोशी मेरी बेरुखी तो नहीं
चुप रहने की वजह मजबूरी तो नहीं
हर सवाल का जवाब हो
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
माना तेरे बग़ैर ज़िन्दगी अधूरी ही सही
जितना भी चाहे ये दिल मगर
हर शाम तेरी बज़्म में ही गुज़रे
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
ज़हर पीकर भी यहाँ जी लेते हैं लोग
दिखती है बात जो वो पूरी तो नहीं
हर मर्ज़ की दवा हो
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
माना मेरी ख़ामोशी में नहीं मेरी आवाज़ सा दम
लेकिन चुप रह कर भी हो सकता है इज़हार-ए-ग़म
दर्द के एहसास के लिए लब से उफ़ निकले
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
सहरा में भी तेरी याद से ख़िल सकते हैं
तेरे पहलू के गुलाब
उनके लने के लिए बहार का होना
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
दूर जाते हो तुम होकर मुझसे ख़फ़ा
दिल के करीब आने के लिए
तेरा नज़दीक होना
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
कश्ती की साहिल से कितनी क्यों न हो दूरी
मौज के जनाज़े पर तैर जाता है सफ़र
और डूबने के लिए समुंदर का होना
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
तुमको रंजिश है कि मैं मौजूद नहीं
महिफ़ल सजती है मगर तेरे नूर से ही
गुमनाम का होना या न होना
ये कोई ज़रूरी तो नहीं
***************Meanings**************
बेरुखी - Indifference
बज़्म - Party, Company
इज़हार-ए-ग़म - Expression of sorrow
सहरा - Desert
पहलू - Closeness
साहिल - Banks of river
मौज - Wave
जनाज़े - Funeral procession
रंजिश - Grievance
********************************************