Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Tumsay Nahin Main

Khhud Sey Khfaa Hoon

Yeh Raaz-e-Ranjish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Iss Shaam Kay Lambay Saayon Mein

Dooor Hoti Hai Meri Parchhayee

Iss Tanhaaee Kee Aazmaaish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Bdal Bdal Kar Mausam Nay

Badlaa Hai Mujhay Har Mausam Mein

Inn Barstein Ashqon Kee Baarish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Kaash Mil Jaati Humko Bhi

Teri Mohabbat Kee Kuchh Kishtein

Iss Dil-e-Khwaish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

 Gum Kay Kehar Nay Torhaa Jisko

Dobaaraa Uss Dil Kay Ashiyaan Ko

Basaanay Kee Sifaarish

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Zaalim Toofaano Mein

Bikhray Hain Jazbaat Jahaan

Ruswa Jazbon Kee Numaaish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Jo Aayaa Hai Ussay Guzarnaa Hai

Taah Umar Kaa Hisaab Karnaa Hai

Iss Pak-e-Paidayish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Kya Jalee Hogi Koee Shmaa

Jo Zamanay Nay Humein Jalaaya Hai

Iss Raakhay-e-Rihaayish Ko

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Itna Chal Chukaa Hoon Main 

Ki Aur Abb Raasta Bachaa Nahin

Iss Jahan Sey Rukhsat Honay Kee Guzarish

Gumnaam Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

Abb Lekar Main Kahaan Jaaoon

 

***************Meanings**************

Raaz-e-Ranjish - Secret Grievance

Aazmaaish – To Test

Kishtein - Installments

Dil-e-Khwaish - Heart's Desire

Ruswa - Insult

Numaaish - Exhibition

Pak-e-Paidayish - Pure Birth

Raakhay-e-Rihaayish - Charred Dwelling

Rukhsat - Leave/Depart

Guzaarish - Request

******************************************************

 

लेकर मैं कहाँ जाऊँ


तुमसे नहीं मैं 

खुद से ख़फा हूँ 

ये राज़-ए-रंजिश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

इस शाम के लम्बे सायों में 

दूर होती है मेरी परछाई 

इस तन्हाई की आज़माइश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

बदल बदल कर मौसम ने 

बदला है मुझे हर मौसम में 

इन बरसते अश्क़ों की बारिश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

काश मिल जाती हमको भी 

तेरी मुहब्बत की कुछ किश्तें 

इस दिल-ए-ख़्वाइश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

ग़म के कहर ने तोड़ा जिसको 

दोबारा उस दिल के आशियाँ को 

बसाने की सिफारिश 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

ज़ालिम तूफानों में 

बिखरे हैं जज़्बात जहाँ 

रुसवा जज़्बों की नुमाइश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

जो आया है उसे गुज़रना है 

ता उम्र का हिसाब करना है 

इस पाक-ए-पैदाइश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 

क्या जली होगी कोई शमा 

जो ज़माने ने हमें जलाया है 

इस राख-ए-रिहाइश को 

अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ 


इतना चल चुका हूँ मैं 

कि और अब रास्ता बचा नहीं 

इस जहान से रुख़सत होने की गुज़ारिश 

गुमनाम अब लेकर मैं कहाँ जाऊँ

***************Meanings**************

राज़-ए-रंजिश - Secret grievance 

आज़माइश - To test 

किश्तें - Installments 

दिल-ए-ख़्वाइश - Heart's desire 

रुसवा - Insult 

नुमाइश - Exhibition 

पाक-ए-पैदाइश - Pure birth 

राख-ए-रिहाइश - Charred dwelling 

रुख़सत - Leave, Depart 

गुज़ारिश - Request

******************************************************