Sehraaon Mein Dumm Ghout Rhaa Hai
Bahaaron Sey Kehdo Rukh Badal Jaayein
Aawaaraa Ghoum Rahay Hain Aasmaan Mein Jo
Inn Baadalon Sey Kehdo Ki Abh Baras Jaayein
Sataayaa Hai Rakeebon Nay Bahut Humko
Yaaron Sey Kehdo Ki Aakar Mil Jaayein
Kyun Itnay Bayrung Hain Yeh Baazaar Yahaan
Gulon Sey Kehdo Ki Inn Mein Khil Jaayein
Oudrhay Hain Rishton Kay Dhaagey Kuchh Aisay
Kaash Ehsaas-e-Dar-Guzar Sey Sil Jaayein
Baykraar Hain Musaafir Manzilon Kay Liye
Pahaarhon Sey Kehdo Ruston Sey Hil Jaayein
Arsay Sey Sarhad Per Hain Jo Hasratein
Aarzoooan Sey Kehdo Unhein Mil Jaayein
Junoon-e-Mohabbat Hai Mujh Mein Itnaa
Kehdoon Toh Jannat Kay Darwaazay Khul Jaayein
Bujhaa Hai Fir Kyun Pyaar Yahaan
Jis Husn Ki Garami Sey Dariyaa Jal Jaayein
Nikaalaa Hai Kyun Dil Sey Humein Aisay
Gumnaam Lekar Kahaan Abh Hum Yeh Dil Jaayein
Lekar Kahaan Abh Hum Yeh Dil Jaayein
Yaaron Sey Kehdo Ki Aakar Mil Jaayein
Yaaron Sey Kehdo Ki Aakar Mil Jaayein
Yaaron Sey Kehdo Ki Aakar Mil Jaayein
***************Meanings**************
Bahaar-e-Sehraa – Desert Breeze
Rakeebon- Enemies
Junoon-e-Mohabbat- Passion Of Love
Ehsas-e-Dar-Guzar- Feeling of Forgiveness
********************************************
बहार-ए-सहरा
सहराओं में दम घुट रहा है
बहारों से कह दो रुख बदल जाएं
आवारा घूम रहे हैं आसमान में जो
इन बादलों से कह दो कि अब बरस जाएं
सताया है रकीबों ने बहुत हमको
यारों से कह दो कि आकर मिल जाएं
क्यों इतने बेरंग हैं ये बाज़ार यहां
गुलों से कह दो कि इन में ख़िल जाएं
उधड़े हैं रिश्तों के धागे कुछ ऐसे
काश एहसास-ए-दर-गुज़र से सिल जाएं
बेकरार हैं मुसाफ़िर मंज़िलों के लिए
पहाड़ों से कह दो रस्तों से हिल जाएं
अरसे से सरहद पर हैं जो हसरतें
आरज़ुओं से कह दो उन्हें मिल जाएं
जुनून-ए-मुहब्बत है मुझ में इतना
कह दूँ तो जन्नत के दरवाज़े खुल जाएं
बुझा है फिर क्यों प्यार यहाँ
जिस हुसन की गरमी से दरिया जल जाएं
निकाला है क्यों दिल से हमें ऐसे
गुमनाम लेकर कहाँ अब हम ये दिल जाएं
लेकर कहाँ अब हम ये दिल जाएं
यारों से कह दो कि आकर मिल जाएं
यारों से कह दो कि आकर मिल जाएं
यारों से कह दो कि आकर मिल जाएं
***************Meanings**************
बहार-ए-सहरा - Desert breeze
रकीबों - Enemies
एहसास-ए-दर-गुज़र - Feeling of forgiveness
जुनून-ए-मुहब्बत - Passion of love
********************************************