Teri Dhoop Meri
Chhaaon Kaa Aaraam Thhee
Meri Shab Toh Ranjishon
Kaa Intezaam Thhee
Jis Rooh Kee
Mujhay Talaash Thhee
Teri Aarzooaon Kee
Woh Ghulaam Thhee
Meri Baat Toh
Mehaz Aam Thhee
Teri Baat Kissee
Shaayar Kaa Kalaam Thhee
Meri Hawaa Thhee
Kissee Gaaon Kee
Tu Baad-e-Sabaa Thhee
Kissee Payaam Kee
Meri Shaam Toh
Fakat Ek Shaam Thhee
Teri Shaam Toh
Mera Inaam Thhee
Teray Rutbay Kee
Toh Pehchaan Thhee
Meri Shakhseeyat Toh
Nilaam Thhee
Woh Gard Jo
Mainay Jamaa Kee
Woh Thhee
Teray Hee Makaam Kee
Kyee Manzilein
Oun Ruston Per
Mainey Bus Yoon Hee
Tamaam Keen
Woh Milnay Ko
Tarasnay Kee
Hasratein Kyee
Sazaayein Thheen
Milay Thhay Jab
Kabhi Magar
Woh Dharhkano Kee
Duaayien Thheen
Teray Raastay Mein
Jo Bichhee Thheen
Woh Meray Intezaar
Kee Sadaayein Thheen
Meri Zameen Ko
Jiskee Pyaas Thhee
Woh Teri Barasti
Waffaayein Thheen
Shor Mein Jo
Gum Ho Gayeen
Woh Meri Unsunee
Aahein Thheen
Kyun Phir
Sazaa Milee Ounkee
Gumnaam Kee Naa
Jo Khataayein Thheen
Gumnaam Kee Naa
Jo Khataayein Thheen
Gumnaam Kee Naa
Jo Khataayein Thheen
***************Meanings**************
Shab — Night
Ranjishon — Sorrow
Mehaz — Only
Baad-e-Sabaa — Refreshing morning breeze
Payaam — Message
Fakat — Merely
Rutbay — Social standing
Shakhseeyat — Personality
Gard — Dust
Makaam — Destination/ Position
Tamaam — Finish
********************************************
मकाम-ए-यार
तेरी धूप मेरी
छाओं का आराम थी
मेरी शब तो रंजिशों
का इंतज़ाम थी
जिस रूह की
मुझे तलाश थी
तेरी आरज़ुओं की
वो ग़ुलाम थी
मेरी बात तो
महज़ आम थी
तेरी बात किसी
शायर का कलाम थी
मेरी हवा थी
किसी गाँव की
तू बाद-ए-सबा थी
किसी पयाम की
मेरी शाम तो
फ़क़त एक शाम थी
तेरी शाम तो
मेरा इनाम थी
तेरे रुतबे की
तो पहचान थी
मेरी शख़्सियत तो
नीलाम थी
वो गर्द जो
मैंने जमा की
वो थी
तेरे ही मकाम की
कई मंज़िलें
उन रास्तों पर
मैंने बस यूँ ही
तमाम कीं
वो मिलने को
तरसने की
हसरतें कई
सज़ाएं थीं
मिले थे जब
कभी मगर
वो धड़कनों की
दुआएं थीं
तेरे रास्ते में
जो बिछी थीं
वो मेरे इंतज़ार
की सदाएं थीं
मेरी ज़मीन को
जिसकी प्यास थी
वो तेरी बरसती
वफ़ाएं थीं
शोर में जो
गुम हो गईं
वो मेरी अनसुनी
आहें थीं
क्यों फिर
सज़ा मिली उनकी
गुमनाम की न
जो खताएं थीं
***************Meanings**************
शब - Night
रंजिशों - Sorrow
महज़ - Only
बाद-ए-सबा - Refreshing morning breeze
पयाम - Message
फ़क़त - Merely
रुतबे - Social standing
शख़्सियत - Personality
गर्द - Dust
मकाम - Destination, Position
तमाम - Finish
********************************************