Sawaal

Jo Ehsaas Zubaan Pey Nahi

Woh Meray Shaoor Mein Kyun

Jo Meray Itnay Kareeb Hai

Woh Mujhsey Door Kyun

Ibtdaa-e-Safar Sey Pehlay

Yeh Dil Beqaraar Kyun

Kho Gyaa Guftgu Mein

Woh Pehlay Saa Qaraar Kyun

Yeh Aam Si Zindagi

Itnay Janjaal Mein Kyun

Jo Tamanaa Haqeeqat Nahin

Woh Khawaab-o-Khayaal Mein Kyun

Jis Rooh Ka Aks Beydaag Saaf

Phir Oussey Milaa Har Shaqs Dhundalaa Kyun

Humsafar Bhi Hai Rehnumaa Bhi

Sar-e-Raah Phir Gumraah Kyun

Itnee Baar Dohraayaa Jisko

Ous Baat Pey Phir Naa Gaur Kyun

Bachnaa Chahtay Thhay Jis Sey

Phir Guzaray Ous Daur Sey Kyun


Jo Raasta Manzil Tak Nahi

Woh Meri Raah Mein Kyun

Jis Waqt Ka Mujhay Inteyzaar Hai

Woh Abhi Tak Nahi Aayaa Kyun

Jis Mein Tera Zikr Hee Nahi

Woh Daastaan Koee Sunaaye Kyun

Jis Hwaa Mein Teri Khushboo Nahi

Woh Iss Fizaa Mein Kyun

Mohabbat Jataaee Itnee Jahan

Wahan Dard Beyshoomaar Kyun

Jaan Luttaatey Rahay Tum Gumnaam

Phir Azeez Koee Aur Kyun 

***************Meanings**************

Shaoor – Consciousness

Ibtdaa-e-Safar – Beginning of Journey

Janjaal – Enchantment

Aks – Reflection

Azeez – Dear One

********************************************

सवाल

जो एहसास ज़ुबान पे नहीं 

वो मेरे शऊर में क्यों 

जो मेरे इतने करीब है 

वो मुझसे दूर क्यों 


इब्तिदा-ए-सफ़र से पहले 

ये दिल बेकरार क्यों 

खो गया गुफ्तगू में 

वो पहले सा करार क्यों 

ये आम सी ज़िन्दगी 

इतने जंजाल में क्यों 

जो तमन्ना हकीकत नहीं 

वो ख्वाब-ओ-ख्याल में क्यों  

जिस रूह का अक्स बेदाग साफ़ 

फिर उसे मिला हर शख्स धुंधला क्यों 

हमसफ़र भी है रहनुमा भी 

सर-ए-राह फिर गुमराह क्यों 

इतनी बार दोहराया जिसको 

उस बात पे फिर न गौर क्यों 

बचना चाहते थे जिस से 

फिर गुज़रे उस दौर से क्यों 

जो रास्ता मंज़िल तक नहीं 

वो मेरी राह में क्यों 

जिस वक़्त का मुझे इंतज़ार है 

वो अभी तक नहीं आया क्यों  

जिस में तेरा ज़िक्र ही नहीं 

वो दास्तां कोई सुनाए क्यों 

जिस हवा में तेरी खुशबू नहीं 

वो इस फिज़ा में क्यों 


मुहब्बत जताई इतनी जहाँ 

वहां दर्द बेशुमार क्यों 

जान लुटाते रहे तुम गुमनाम 

फिर अज़ीज़ कोई और क्यों 

***************Meanings**************

शऊर - Consciousness 

इब्तिदा-ए-सफ़र - Beginning of journey 

जंजाल – Enchantment 

अक्स – Reflection 

अज़ीज़ - Dear one

********************************************