Pehchaan

Yeh Aankhein Kyaa Izhaar Kar Gayeen

Yakeen Sey Gumaan Ho Gyaa Hoon

Bin Kahay Hee Kuchh Ab Main

Mauzoo-e-Byaan Ho Gyaa Hoon

 

Khudee Kee Talaash Kay Intezaar Mein

Mujhay Bhi Maaloom Nahin Kay

Iss Dasht-e-Tanhaaee Kee Ab Main

Bezaar Hwaa Ho Gyaa Hoon

 

Iss Jahaan Kee Qaid Sey Rihaa Ho Kar

Faaslon Kee Dooreeyon Sey Kahin Door

Kisee Aur Hadd Kee Taraf Ab Main

Rwaan Ho Gyaa Hoon

 

Aainay Nay Bhee Inkaar Kar Deeyaa

Mera Wajood Tasleem Karnaa

Safay-Taareekh Mein Bay-Zikrr Ab Main

Guzraa Huaa Samaa Ho Gyaa Hoon

 

Sung-e-Dil Nahin Main

Sung-e-Marmar Bhee Nahin Main

Apnee Hee Lau Mein Pighaltaa Ab Main

Bay-Pehchaan Ho Gyaa Hoon

  

Safar Mein Zafar Naa Milaa

Junoon Mein Bhee Ab Woh Asar Nahin

Kisee Musaafir Say Bichharhaa Ab Main

Saamaan Ho Gyaa Hoon

 

Khyaal Beshuck Teraa Hee Hai Magar

Jis Soch Kee Koyee Intehaa Nahin

Waisaa Khulaa Baynaqaab Ab Main

Aasmaan Ho Gyaa Hoon

 

Zamaanaa Mujh Say Khfaa Hai

Main Zamaanay Say Uljhaa Hoon

Daastaan-e-Safar Sunaanay Mein Ab Main

Bayzubaan Ho Gyaa Hoon

 

Mera Qafilaa Mujhay Beech Raah

Tanhaa Chhorh Gyaa Hai

Kisee Ghair Kaa Ab Main

Carvaan Ho Gyaa Hoon

 

Chup Rehkar Jo Gumnaam Thhaa

Shayaree Nay Badnaam Keeya Aisay

Jahaan Kay Lubboun Kay Ab Main

Darmeeyaan Ho Gyaa Hoon

***************Meanings**************

Yakeen - Belief

Gumaan - Not Sure

Mauzoo-e-Byaan - Topic of Discussion

Dasht-e-Tanhaaee - Desert of Loneliness

Wajood - Existence

Tasleem - Acknowledge

Safay-Taareekh - Pages of History

Sung-e-Dil - Stone-Hearted

Baynaqaab - Expose

Daastaan-e-Safar - Travelogue

********************************************

पहचान

ये आंखें क्या इज़हार कर गईं 

यकीन से गुमान हो गया हूँ 

बिन कहे ही कुछ अब मैं 

मौज़ू-ए-बयां हो गया हूँ 

खुदी की तलाश के इंतज़ार में 

मुझे भी मालूम नहीं कि

इस दश्त-ए-तन्हाई की अब मैं 

बेज़ार हवा हो गया हूँ 

इस जहान की कैद से रिहा होकर 

फासलों की दूरियों से कहीं दूर 

किसी और हद की तरफ़ अब मैं 

रवां हो गया हूँ 

आईने ने भी इनकार कर दिया 

मेरा वजूद तसलीम करना 

सफ़े-तारीख़ में बेज़िक्र अब मैं 

गुज़रा हुआ समा हो गया हूँ 

संग-ए-दिल नहीं मैं 

संग-ए-मरमर भी नहीं मैं 

अपनी ही लौ में पिघलता अब मैं 

बेपहचान हो गया हूँ 

सफ़र में ज़फ़र न मिला 

जुनून में भी अब वो असर नहीं 

किसी मुसाफ़िर से बिछड़ा अब मैं 

सामान हो गया हूँ 

ख्याल बेशक तेरा ही है मगर 

जिस सोच की कोई इन्तहा नहीं 

वैसा खुला बेनकाब अब मैं 

आसमान हो गया हूँ 

ज़माना मुझ से ख़फा है 

मैं ज़माने से उलझा हूँ 

दास्तान-ए-सफ़र सुनाने में अब मैं 

बेज़ुबान हो गया हूँ 



मेरा काफिला मुझे बीच राह 

तनहा छोड़ गया है 

किसी ग़ैर का अब मैं 

कारवाँ हो गया हूँ 

चुप रहकर जो गुमनाम था 

शायरी ने बदनाम किया ऐसे 

जहान के लबों के अब मैं 

दरमियान हो गया हूँ 

***************Meanings**************

यकीन - Belief 

गुमान - Not sure 

मौज़ू-ए-बयां - Topic of discussion

दश्त-ए-तन्हाई - Desert of loneliness

वजूद - Existence 

तसलीम - Acknowledge 

सफ़े-तारीख़ - Pages of history 

संग-ए-दिल - Stone-hearted 

बेनकाब - Expose  

दास्तान-ए-सफ़र - Travelogue

********************************************