Gham-e-Gul

Khilay Gulshan Mein Oun Gunchoun Kay Beech

Ous Murjhaaye Huay Phool Ko Main Kya Bataaoon

Kehdoon Kay Yeh Thhi Khudaa Kee Hee Rzaa

Yaan Phir Ousey Dou Ghount Paani Aur Pilaaoon

Kahoon Kay Maali Kee Thhi Yeh Nazar Andaazi

Yaan Phir Mausam Kee Beyrehmi Kaa Kisaa Sunnaaoon

Uski Peshaani Pey Haath Rakh Taap Dekhoon

Yaan Phir Gudgudee Kar Kissi Taraah Ousey Hasaaoon

Kya Kahoon Ous Sey Kay Har Zindagi Toh Hai Faani

Yaan Phir Aanay Waali Bahaar Kee Taareekh Bataaoon

Kya Yeh Zaroori Hai Kee Dard Mein Hee Ho Kar Shareek

Kissi Sakoon Kee Oumeed Mein Saans Bhar Paaoon

Yaan Phir Jalti Hooee Aag Kay Daaman Sey

Sirf Dhooaan Bann Kar Hwaa Mein Outhhta Jaaoon

Koee Toh Ho Iss Qehar Mein Jaan-e-Amaan

Jhaan Jaa Kar Kuchh Dair Main Tanhaa Chhip Jaaoon

Raasta Bhi Mujhsey Abb Toh Ziaadaa Thhak Chuka Hai

Main Iss Intezaar Ko Kitnaa Aur Intezaar Karaaoon

Teray Naa Aanay Kee Daleelein Suntay Hain Gham-Khavaaroun Sey

Magar Main Apnay Ain-Imman Ko Yeh Kaisay Samjhaaoon

Haasil Mukkamal Keeya Kuchh Bhi Toh Nahin

Iss Ataa-e-Gham Ko Abb Main Kahaan Sajaaoon

Khilay Gulshan Mein Oun Gunchoun Kay Beech

Gumnaam Ous Murjhaaye Huye Phool Ko Main Kya Bataaoon

***************Meanings**************

Jaan-e-Amaan - Place of refuge

Gham-Khavaaroun - People who share one’s sorrow

Ain-Imman – Essence of belief

Ataa-e-Gham – Reward of sorrow

********************************************

ग़म-ए-गुल

खिले गुलशन में उन गुंचों के बीच

उस मुरझाए हुए फूल को मैं क्या बताऊं

कह दूं कि ये थी खुदा की ही रज़ा 

या फिर उसे दो घूंट पानी और पिलाऊं

कहूं कि माली की थी ये नज़र अंदाज़ी

या फिर मौसम की बेरहमी का किस्सा सुनाऊं

उसकी पेशानी पे हाथ रख ताप देखूं

या फिर गुदगुदी कर किसी तरह उसे हसाऊं

क्या कहूं उससे के हर जिंदगी तो है फानी

या फिर आने वाली बहार की तारीख बताऊं

क्या ये ज़रूरी है कि दर्द में ही होकर शरीक

किसी सकून की उम्मीद में सांस भर पाऊं

या फिर जलती हुई आग के दामन से

सिर्फ धुआं बन कर हवा में उठता जाऊं

कोई तो हो इस कहर में जान-ए-अमान

जहां जाकर कुछ देर मैं तनहा छिप जाऊं

रास्ता भी मुझसे अब तो ज़्यादा थक चुका है

मैं इस इंतजार को कितना और इंतजार कराऊं

तेरे न आने की दलीलें सुनते हैं ग़म-ख़्वारों से

मगर मैं अपने ऐं-ईमान को ये कैसे समझाऊं

हासिल मुकम्मल किया कुछ भी तो नहीं

इस अता-ए-ग़म को अब मैं कहां सजाऊं

खिले गुलशन में उन गुंचों के बीच

गुमनाम उस मुरझाए हुए फूल को मैं क्या बताऊं


***************Meanings**************

जान-ए-अमान  -  Place of refuge

ग़म-ख़्वारों  -  People who share one’s sorrow

 ऐं-ईमान  -  Essence of belief

 अता-ए-ग़म  -  Reward of sorrow

********************************************