Kami Hai

 

Kaagaz Kay Phoolon Sung

Mehfil Jumee Hai

Bahut Kuchh Aalam Mein Hai Yahaan

Sirf Teri Khushboo Kee Hee Kami Hai

 

Dost Bantay Hain Roz Yahaan

Rakeebon Kee Qataar Bhi Kahan Thhami Hai

Aashnaa Toh Bahut Hain Yahaan

Sirf Dosti Kee Hee Kami Hai

 

Woh Jazbaat Kaa Maujazzan Iss Dil Mein

Jo Aankhon Mein Leh Aataa Nami Hai

Kehnay Ko Bahut Kuchh Hai Yahaan

Sirf Izhaar Ko Mere Lafzon Kee Hee Kami Hai

 

 Bayshak Raastay Dushwaar Hain

Par Manzil Tak Pahunchna Bhi Lazmee Hai

Milnay Kay Sab Aasaar Hain

Sirf Justjoo Kee Hee Kami Hai

 

 Soch Sakta Toh Yahan Har Fard Hai

Magar Soch Kee Soch Mein Bhi Jo Nahin

Aisee Bas Soch Kee

Sirf Mujh Mein Hee Kami Hai

 Pyaar Kaa Safar Toh Kitna Taweel Hai

Phir Daastaayien Mohabbat Mein Yeh Kaisee Gumee Hai

Mukhtsar Sii Zindagi Mein

Sirf Ishq Kee Hee Kami Hai

  Suraahi Gardan Tak Bhari Hai

Mehkadaa Mein Saaki Bhi Humee Hain

Har Shaqs Nashay Mein Hai Yahaan

Sirf Suroor Kee Hee Kami Hai

Falak Mein Sitaaray Bhi Hain

 Maahetaab Kee Bhi Chaudveen Hai

Kehkashaan Kay Iss Ujaalay Mein

Sirf Teri Rawshanee Kee Hee Kami Hai

 

Zindaa Hu Main

Pairo Tallay Zameen Bhi Hai

Saansay Bhi Hain Dharhkanay Bhi 

Gumnaam Sirf Zindagi Kee Hee Kami Hai

Sirf Zindagi Kee Hee Kami Hai

Sirf Zindagi Kee Hee Kami Hai

  ************Meanings****************

Rakeebon - Enemies

Aashnaa - Acquaintance

Maujazzan - Huge Wave

Justjoo - Desire

Taweel - Vast

Mukhtsar - Short

Kehkashaan - Galaxy

***************************************************

कमी है

कागज़ के फूलों संग 

महफ़िल जमी है 

बहुत कुछ आलम में है यहां 

सिर्फ तेरी खुशबू की ही कमी है 

दोस्त बनते हैं रोज़ यहां 

रकीबों की क़तार भी कहाँ थमी है 

आशना तो बहुत हैं यहां 

सिर्फ दोस्ती की ही कमी है 

वो जज़्बात का मौजज़न इस दिल में 

जो आँखों में ले आता नमी है 

कहने को बहुत कुछ है यहां 

सिर्फ इज़हार को मेरे लफ़्ज़ों की ही कमी है 

बेशक रास्ते दुशवार हैं 

पर मंज़िल तक पहुंचना भी लाज़मी है 

मिलने के सब आसार हैं 

सिर्फ जुस्तजू की ही कमी है 

सोच सकता तो यहाँ हर फर्द है 

मगर सोच की सोच में भी जो नहीं 

ऐसी बस सोच की 

सिर्फ मुझ में ही कमी है 

प्यार का सफ़र तो कितना तवील है

फिर दास्ताएं मुहब्बत में ये कैसी ग़मी है 

मुख़्तसर सी ज़िन्दगी में 

सिर्फ इश्क़ की ही कमी है 

सुराही गर्दन तक भरी है 

महकदा में साकी भी हमी हैं 

हर शख्स नशे में है यहाँ 

सिर्फ सुरूर की ही कमी है 

फ़लक में सितारे भी हैं 

महताब की भी चौदवीं है 

कहकशां के इस उजाले में 

सिर्फ तेरी रौशनी की ही कमी है 

ज़िंदा हूँ मैं 

पैरों तले ज़मीन भी है 

साँसें भी हैं धड़कनें भी 

गुमनाम सिर्फ ज़िन्दगी की ही कमी है


************Meanings****************

रकीबों - Enemies 

आशना - Acquaintance 

मौजज़न - Huge wave 

जुस्तजू - Desire 

तवील - Vast 

मुख़्तसर - Short 

कहकशां - Galaxy

******************************************************