Gumnaam Hoon Main

Traasha Hai Guzaray Lamhon Nay Yoon

Koee Baadshah Naa Koee Nizaam Hoon Main

Waqt Kaa Pehraa Dey Rhaa 

Apnay Safar Kaa Ghulaam Hoon Main

 

Besabab Nahin Hai Meray Lehjay Mein

Taqaluf Kee Kami

Zamaanay Kii Tamaam Nafraton Mein

Liptaa Hua Inteqaam Hoon Main

 

Lekar Aataa Hai Naya Naseeb

Har Koee Inn Hathheleeyon Mein

Ouskee Marzi Aur Paheleeyon Mein

Badnaseebi Kaa Ek Ilzaam Hoon Main

 

Iss Aalam Sey Puchho Toh Zaraa

Ki Mera Wajood Hai Kya

Chund Dinno Ka Mehmaan Jo

Iss Kudrat Kaa Ek Intezaam Hoon Main

 

Main Khulaasay Deta Reh Gyaa

Samajh Na Sakay Par Tum Eh Dost

Lifaafay Mein Hee Jo Bandh Reh Gyaa

Woh Anparhaa Paiyaam Hoon Main

 

Kaun Aaye Yaan Chala Jaye Kab

Hota Hai Uski Razaa Mein Sab

Jo Pehlay Thhaa Nahin Hoon Main Ab

Uss Beetay Hue Kal Kaa Anjaam Hoon Main

 

Mehkadaa Mein Hulchul Hai Jahaan

Suroor Aur Nashay Kaa Imtehaan Hai Wahan

Aisee Madhosh Mehfil Mein

Saaki Kay Hathh Mein Ek Jaam Hoon Main

 

Bheerh Nay Rakhaa Hai Aisay Masroof

Mizaaj Bhi Thhak Chukaa Hai Khoob

Tanhaaee Ko Talaashtaa Hoon Har Waqt

Shayad Wahi Dhoondhtaa Aaraam Hoon Main

 

Kainaat Mein Meri Jagah Hai Kahan

Naa Din Hun Naa Raat Hoon Main

Aaftaab Bichharhtaa Mahetaab Sey Jahan

Woh Firaaq Ki Lambi Shaam Hoon Main

 

Kabhi Hoti Thhii Meri Bhi Koee Pehchaan

Thhaa Mera Bhi Kabhi Koee Naam

Gardish –e-Aayaam Mein Nidhaal Huaa

Ab Toh Sirf Gumnaam Hoon Main

Gumnaam Hoon Main

Gumnaam Hoon Main

 

************Meanings****************

Besabab - Without Reason

Lehjay - Tone

Taqaluf - Formality

Inteqaam - Revenge

Ilzaam - Blame

Wajood - Existence

Khulaasay - Explanations

Paiyaam - Message

Mehkadaa - Bar

Masroof - Busy

Mizaaj - Attitude

Aaftaab - Sun

Mahetaab - Moon

Firaaq - Separation

Gardish-e-Aayaam – Passing Days

***********************************************************

गुमनाम हूँ मैं

तराशा है गुज़रे लम्हों ने यूँ 

कोई बादशाह न कोई निज़ाम हूँ मैं 

वक़्त का पहरा दे रहा 

अपने सफ़र का ग़ुलाम हूँ मैं 

बेसबब नहीं है मेरे लहजे में 

तक़ल्लुफ़ की कमी 

ज़माने की तमाम नफरतों में 

लिपटा हुआ इंतकाम हूँ मैं 

लेकर आता है नया नसीब 

हर कोई इन हथेलियों में 

उसकी मर्ज़ी और पहेलियों में

बदनसीबी का एक इलज़ाम हूँ मैं 

इस आलम से पूछो तो ज़रा 

कि मेरा वजूद है क्या 

चंद दिनों का मेहमान जो

 इस कु दरत का एक इंतज़ाम हूँ मैं 

मैं खुलासे देता रह गया 

समझ न सके पर तुम ऐ दोस्त 

लिफ़ाफ़े में ही जो बंद रह गया 

वो अनपढ़ा पयाम हूँ मैं 

कौन आए या चला जाए कब 

होता है उसकी रज़ा में सब 

जो पहले था नहीं हूँ मैं अब 

उस बीते हुए कल का अंजाम हूँ मैं 

महकदा में हलचल है जहां 

सुरूर और नशे का इम्तिहान है वहां 

ऐसी मदहोश महफ़िल में 

साकी के हाथ में एक जाम हूँ मैं  

भीड़ ने रखा है ऐसे मसरूफ 

मिज़ाज भी थक चुका है खूब 

तन्हाई को तलाशता हूँ हर वक़्त 

शायद वही ढूँढता आराम हूँ मैं


कायनात में मेरी जगह है कहाँ 

न दिन हूँ न रात हूँ मैं 

आफ़ताब बिछड़ता महताब से जहाँ 

वो फ़िराक की लम्बी शाम हूँ मैं 

कभी होती थी मेरी भी कोई पहचान 

था मेरा भी कभी कोई नाम 

गर्दिश-ए-आयाम में निढाल हुआ 

अब तो सिर्फ गुमनाम हूँ मैं


*****************Meanings******************

बेसबब - Without reason 

लहजे - Tone 

तक़ल्लुफ़ - Formality 

इंतकाम - Revenge 

वजूद - Existence 

खुलासे - Explanations 

महकदा - Bar

मसरूफ - Busy 

मिज़ाज - Attitude 

आफ़ताब - Sun 

महताब - Moon 

फ़िराक - Separation 

गर्दिश-ए-आयाम - Passing days

************************************************************