Soch

Kuchh Baatein Beshaq Kahi Naa Jaayein

Phir Bhi Maaeenay Rakhti Hain

Kuchh Yaadein Chaahay Dauhraaee Naa Jaayein

Phir Bhi Aaeenay Rakhti Hain

Kuchh Nazarein Chaahay Khaamosh Lagein

Phir Bhi Zubaan Rakhti Hain

Intezaar Ki Gharhiyaan Aisee

Woh Raatein Kahaan Guzarti Hain

Rehnumaa Ko Bhi Maaloom Nahin

Woh Raahein Kahaan Nikalti Hain

Chaltay Hain Inn Par Sabh Lekin

Phir Raahatein Kahaan Milti Hain

Parwaano Kay Marnay Sey Kyaa

Shamaayein Phir Bhi Jalti Hain

Ruk Jaaye Yaan Rukhsat Ho Koee

Mehfilein Toh Phir Bhi Sajti Hain


Laakh Angaar Dil Mein Meray

Tanhaa Burfein Kahaan Pighalti Hain

Kuchh Chottein Aisee Bhi Hain

Jo Marham Lagnay Pey Bhi Dukhti Hain

Mat Kar Naaz Wafaa Par Itnaa

Galateeyaan Ho Sakteen Hain

Iss Zindagi Ki Haddoun Ko Mat Aazmaa

Yeh Maut Kay Aagey Jhukti Hain

Haj Par Lekar Garoor Gumnaam

Phir Rehmatein Kahaan Milti Hain

Phir Rehmatein Kahaan Milti Hain

Phir Rehmatein Kahaan Milti Hain


***************Meanings**************

Aaeenay – Mirrors

Rehnumaa – Leader

Garoor – Pride, Vanity

********************************************

सोच

कुछ बातें बेशक कहीं न जाएं 

फिर भी मायने रखतीं हैं 

कुछ यादें चाहे दोहराईं न जाएं 

फिर भी आईने रखतीं हैं 

कुछ नज़रें चाहे ख़ामोश लगें 

फिर भी ज़ुबान रखतीं हैं 

इंतज़ार की घिड़याँ ऐसी 

वो रातें कहाँ गुज़रतीं हैं 

रहनुमा को भी मालूम नहीं 

वो राहें कहाँ निकलतीं हैं 

चलते हैं इन पर सब लेकिन 

फिर राहतें कहाँ मिलतीं हैं 

परवानों के मरने से क्या 

शमाएं फिर भी जलतीं हैं 

रुक जाए या रुख़सत हो कोई 

महफ़िलें तो फिर भी सजतीं हैं 

लाख अंगार दिल में मेरे 

तनहा बरफें कहाँ पिघलतीं हैं 

कुछ चोटें ऐसी भी हैं 

जो मरहम लगने पे भी दुखतीं हैं 

मत कर नाज़ वफ़ा पर इतना 

गलतियाँ हो सकतीं हैं 

इस ज़िन्दगी की हद्दों को मत आज़मा 

ये मौत के आगे झुकतीं हैं 

हज पर लेकर ग़ुरूर गुमनाम 

फिर रहमतें कहाँ मिलतीं हैं 

फिर रहमतें कहाँ मिलतीं हैं 

फिर रहमतें कहाँ मिलतीं हैं 


***************Meanings**************
आईने - Mirrors 

रहनुमा - Leader 

ग़ुरूर - Pride, Vanity

********************************************