Shaayar Bnaa Diyaa

Shaayar Bnaa Diyaa

Na Rukaa Na Woh Gyaa Kahin

Ek Khwab Thhaa Yaan Thhaa Ajnabi

Na Kraaee Taareef Na Ptaa Diyaa

Sarghoshi Sey Kuchh Btaa Diyaa

 

Ek Aag Ko Jlaa Diyaa

Meri Hairat Ko Ouksaa Diyaa

Pahaarh Sii Thhi Jo  Anaa

Ek Pal Mein Oussey Giraa Diyaa

 

Aankh Bhari Bhi Nahin Thhi Abhi

Aur Ousney Mujhay Rulaa Diyaa

Dil-e-Dard Ko Tarhpaa Kar

Ek Arzoo Ko Tarsaa Diyaa

 

Raastay Ko Hee Mera

Muqadar Bnaa Diyaa

Manzil-e-Musaafir Ko

Rehnuma Bnaa Diyaa

 Hijaab Mein Chhipi Haiseeyat Ko

Beparda Kar Jtaa Diyaa

Jis Bulbulay Mein Aashiyaan Thhaa

Oussey Mauj Mein Milaa Diyaa

Hakikat dikha kar

Pehle mujhe draa diya

Namumkin thhi jo harkat

Phir usko mujhse kraa diyaa

 

Reham kee aaghosh mein lekar mujhay

Beyrehmee Sey  Oorhaa Diyaa

Phir Giraa Diyaa

Phir Oorhaa Diyaa

 

 Meri Saaz-e--Rooh Kay Alfaazon Ko

Ghazal Bnaa Ke Gaa Diyaa

Aur Gumnaam Ko Shaayar Bnaa Diyaa

Gumnaam Ko Shaayar Bnaa Diyaa

Gumnaam Ko Shaayar Bnaa Diyaa

 

************Meanings****************

Sargoshi---Whisper

Anna--- Ego

Muqadar--- Destiny

Rehnuma---- Guide

Hijab--- Veil

Haiseeyat--- Status

Beparda--- Unveil

Aaghosh--- Embrace

********************************************************

शायर बना दिया

न रुका न वो गया कहीं 

एक ख़्वाब था या था अजनबी 

न कराई तारीफ़ न पता दिया

सरग़ोशी से कुछ बता दिया

एक आग को जला दिया

मेरी हैरत को उकसा दिया

पहाड़ सी थी जो अना 

एक पल में उसे गिरा दिया

ऑंख भरी भी नहीं थी अभी 

और उसने मुझे रुला दिया 

दिल-ए-दर्द को तड़पा कर 

एक आरज़ू को तरसा दिया

रास्ते को ही मेरा 

मुक़द्दर बना दिया

मंज़िल-ए-मुसाफ़िर को 

रहनुमा बना दिया

हिजाब में चिपी हैसियत को 

बेपर्दा कर जता दिया

जिस बुलबुले में आिशयाँ था 

उसे मौज में मिला दिया

हकीकत दिखा कर 

पहले मुझे डरा दिया

नामुमिकन थी जो हरक़त 

फिर उसको मुझसे करा दिया 

रहम की आघोश में लेकर मुझे 

बेरहमी से उड़ा दिया

फिर गिरा दिया

फिर उड़ा दिया 

मेरी साज़-ए-रूह के अल्फ़ाज़ों को 

ग़ज़ल बना के गा दिया

और गुमनाम को शायर बना दिया

गुमनाम को शायर बना दिया



***************Meanings****************

सरगोशी - Whisper 

अना - Ego  

मुक़द्दर - Destiny 

रहनुमा - Guide 

हिजाब - Veil 

हैसियत - Status 

बेपदार् – Unveil 

आघोश – Embrace

************************************************