Inn Khayaalon Kay Swaalon Kaa
Koee Jawaab Saa Dhoondhtaa Hoon Main
Rehguzar Sey Manzil Kaa
Koee Raastaa Saa Poochhta Hoon Main
Jo Sirf Teree Nazar Ko Hee Nazar Karoon
Koee Aisaa Khoobsoorat Saa Kalaam Dhoondhtaa Hoon Main
Woh Lamhaat Jin Mein Milay Thhay Hum
Har Waqt Oonhein Khojtaa Hoon Main
Aur Jis Bheerh Mein Khoye Thhay Kabhi
Oosay Hardum Abh Kostaa Hoon Main
Jo Kabhi Khatam Hee Naa Ho Sakay
Mohabbat Kee Koi Aisee Umar Dhoondhtaa Hoon Main
Meray Pass Denay Ko Kuchh Bhi Nahin
Jo Mashwaraa Thhaa Woh Bhi Dey Chukaa Hoon Main
Duniya-e-Bazaar Mein Kahin
Beygarz Khaloos Kee Khushboo Dhoondhtaa Hoon Main
Falak Mein Urhtay Huay
Zameen Ko Hee Dhoondhtaa Hoon Main
Woh Bepanaah Sii Hasraton Kaa
Koee Anjaam Saa Talaashtaa Hoon Main
Fursat Mein Yaan Ho Masroofeeyat
Teray Baaray Mein Hee Sochtaa Hoon Main
Teray Rooh-Ba-Rooh Ho Jaaoon Bas
Koee Aisaa Intezaam Saa Dhoondhtaa Hoon Main
Apnee Soch Kay Sanaattay Mein
Kisii Baghi Aelaan Kee Tarah Goonjtaa Hoon Main
Iss Gumnaam Sii Zindagi Ka Gumnaam
Koee Ek Naam Saa Dhoondhtaa Hoon Main
Koee Ek Naam Saa Dhoondhtaa Hoon Main
Koee Ek Naam Saa Dhoondhtaa Hoon Main
***************Meanings**************
Rehguzar - Path
Lamhaat - Moments
Duniya-e-Bazaar – Global Society
Khaloos - Sincerity
Rooh-Ba-Rooh –Face To Face
Masroofeeyat- Busy
***************************************************
ढूँढ़ता हूँ मैं
इन ख्यालों के सवालों का
कोई जवाब सा ढूँढता हूँ मैं
रहगुज़र से मंज़िल का
कोई रास्ता सा पूछता हूँ मैं
जो सिर्फ तेरी नज़र को ही नज़र करूँ
कोई ऐसा ख़ूबसूरत सा कलाम ढूँढता हूँ मैं
वो लम्हात जिन में मिले थे हम
हर वक़्त उन्हें खोजता हूँ मैं
और जिस भीड़ में खोए थे कभी
उसे हरदम अब कोसता हूँ मैं
जो कभी ख़त्म ही न हो सके
मुहब्बत की कोई ऐसी उम्र ढूँढता हूँ मैं
मेरे पास देने को कुछ भी नहीं
जो मशवरा था वो भी दे चुका हूँ मैं
दुनिया-ए-बाज़ार में कहीं
बेग़र्ज़ ख़लूस की खुश्बू ढूँढता हूँ मैं
फ़लक में उड़ते हुए
ज़मीन को ही ढूँढता हूँ मैं
वो बेपनाह सी हसरतों का
कोई अंजाम सा तलाशता हूँ मैं
फुर्सत में या हो मसरूफियत
तेरे बारे में ही सोचता हूँ मैं
तेरे रूह-ब-रूह हो जाऊँ बस
कोई ऐसा इंतज़ाम सा ढूँढता हूँ मैं
अपनी सोच के सन्नाटे में
किसी बाघी ऐलान की तरह गूँजता हूँ मैं
इस गुमनाम सी ज़िन्दगी का गुमनाम
कोई एक नाम सा ढूँढता हूँ मैं
***************Meanings**************
रहगुज़र - Path
लम्हात - Moments
दुनिया-ए-बाज़ार - Global society
ख़लूस - Sincerity
रूह-ब-रूह - Face to face
मसरूफियत - Busy
***************************************************