Dosti


Dooriyaan Hain Phir Bhi Woh Paas Hai

Woh Dil Mein Panaptaa Ek Ehsas Hai

Khaamoshee Kee Woh Meethhi Aawaaz Hai

Meri Rooh Ka Woh Sooreelaa Saaz Hai



Naa Kissee Mazhab Ki Ghulaam Hai

Kissee Sajday Ka Woh Salaam Hai

Meray Wajood Ka Woh Imaam Hai

Meray Lahoo Sey Likhaa Kalaam Hai



Kabhi Mohabbat Nay Issay Nichorhaa Hai

Kabhi Gussay Mein Aakar Chhorhaa  Hai

Kabhi Apnoun Nay Bhi Torhaa Hai

Toh Kabhi Ghairon Sey Bhi Jorhaa Hai



Poochhtaa Jub Koee Iskaa Naam Hai

Raam Hai, Ibraheem Hai, Satnaam Hai

Kehtaa Hoon Main Yeh Ajab Intezaam Hai

Yeh Roohoun-Dilloun Mein Bastaa Ehitraam Hai



Wafaadaari Kee Iss Pay Lagaam Hai

Sirf Bharosa Hee Iskaa Mukaam Hai

Oun Sabsey Milnay Kee Aaj Shaam Hai

Jinpey Meri Dosti Kaa Ilzaam Hai



Aayaa Hoon Aaj Mehfil-e-Meherbaan Mein

Kehnay Yeh Pyaar Ki Zabaan Sey

Jharokhaa Banaanay Har Dil Kay Aashiaan Mein

Gumnaam Kee Dosti Kay Saamaan Sey 



Gumnaam Kee Dosti Kay Saamaan Sey 

Gumnaam Kee Dosti Kay Saamaan Sey 



***************Meanings**************

Ehitraam - Honour

********************************************

दोस्ती

दूरियाँ हैं फिर भी वो पास है 

वो दिल में पनपता एक एहसास है 

ख़ामोशी की वो मीठी आवाज़ है 

मेरी रूह का वो सुरीला साज़ है 

न किसी मज़हब की ग़ुलाम है 

किसी सजदे का वो सलाम है 

मेरे वजूद का वो इमाम है 

मेरे लहू से लिखा कलाम है 

कभी मुहब्बत ने इसे निचोड़ा है 

कभी गुस्से में आकर छोड़ा है 

कभी अपनों ने भी तोड़ा है 

तो कभी ग़ैरों से भी जोड़ा है 

पूछता जब कोई इसका नाम है 

राम है, इब्राहिम है, सतनाम है 

कहता हूँ मैं ये अजब इंतज़ाम है 

यह रूहों-दिलों में बस्ता एहतराम है 

वफादारी की इस पे लगाम है 

सिर्फ भरोसा ही इसका मुकाम है 

उन सबसे मिलने की आज शाम है 

जिन पे मेरी दोस्ती का इलज़ाम है 

आया हूँ आज महफ़िल-ए-मेहरबान में 

कहने ये प्यार की ज़ुबान से 

झरोखा बनाने हर दिल के आशियाँ में 

गुमनाम की दोस्ती के सामान से

***************Meanings**************

एहतराम - Honour

********************************************