Shayari Ehlay Akal Kaa Imtehaan Hai
Yeh Naveeday Subaah Kee Tarjumaan Hai
Yeh Khud Mein Ek Wajood Hai
Yeh Ehsaason Kaa Kalaam Hai
Gulon Kee Mehak Mein Wfaa Hai Jahaan
Aisay Har Gulshan Kee Yeh Baaghbaan Hai
Yeh Har Mehfil Kee Mehmaan Hai
Yeh Shuaraa Kaa Deen-o-Imaan Hai
Yeh Koee Garz Bharee Chaahat Nahi
Yeh Shaayar Kay Dil Kee Zabaan Hai
Yeh Sirf Kaagaz Pay Siaahee Nahi
Yeh Shaoor Kaa Paigaam Hai
Yeh Safay Taarikh Mein Shaamil Hai
Yeh Jazbon Kaa Aasmaan Hai
Yeh Ehlay Wfaa Kaa Armaan Hai
Yeh Aashiqon Kee Darbaan Hai
Yeh Kisee Kaisree Kee Jaayedaad Nahi
Yeh Ehlay Dil Kaa Saamaan Hai
Yeh Koee Shaauq-e-Tabbasum Nahi
Yeh Hyaa Kaa Farmaan Hai
Issay Twajjo Kee Talab Hai
Yeh Kadardaano Kee Meharbaan Hai
Aur Jo Dil Ko Chhoo Jaaye
Yeh Aisay Teer Kee Kmaan Hai
Kisee Baaghi Hwaa Say Mil Jaaye
Toh Yeh Kehar Kaa Toofaan Hai
Yeh Kisee Buzdil Kee Lalkaar Nahi
Yeh Dil-e-Daler Kee Baghaawat Kaa Elaan Hai
Yeh Kisee Sehraa Mein Saraab Nahi
Isskaa Meri Rooh Mein Kayaam Hai
Meri Shaayaree Toh Barhee Aam Hai
Yeh Meri Taraah Hee Gumnaam Hai
***************Meanings**************
Ehlay Akal- People with Wisdom
Tarjumaan – Interpretation
Naveeday- New
Baaghbaan- Caretaker
Shuaraa - Poets
Shaoor – Subconscious
Paigaam – Message
Safey Taarikh—Pages of History
Ehlay Wfaa- People with Loyalty
Kaisree – Kingdom
Ehlay Dil- People with Hearts
Shaauq-e-Tabbasum - Fondness for Laughter
Farmaan - Order
Twajjo -- Attention
Talab – Need
Sehraa -- Desert
Saraab - Mirage
********************************************
खुलासा-ए-शायरी
शायरी अहले अकल का इम्तिहान है
ये नवीदे सुबह की तर्जुमान है
ये खुद में एक वजूद है
ये एहसासों का कलाम है
गुलों की महक में वफ़ा है जहाँ
ऐसे हर गुलशन की ये बाग़बान है
ये हर महफ़िल की मेहमान है
ये शुआरा का दीन-ओ-इमान है
ये कोई गरज़ भरी चाहत नहीं
ये शायर के दिल की ज़ुबान है
ये सिर्फ कागज़ पे स्याही नहीं
ये शऊर का पैगाम है
ये सफ़े-तारीख़ में शामिल है
ये जज़्बों का आसमान है
ये अहले वफ़ा का अरमान है
ये आशिक़ों की दरबान है
ये किसी कैसरी की जायदाद नहीं
ये अहले दिल का सामान है
ये कोई शौक़-ए-तबस्सुम नहीं
ये हया का फरमान है
इसे तवज्जो की तलब है
ये कदरदानों की मेहरबान है
और जो दिल को छू जाए
ये ऐसे तीर की कमान है
किसी बागी हवा से मिल जाए तो
ये कहर का तूफ़ान है
ये किसी बुज़िदल की ललकार नहीं
ये दिल-ए-दलेर की बग़ावत का ऐलान है
ये किसी सहरा में सराब नहीं
इसका मेरी रूह में कयाम है
मेरी शायरी तो बड़ी आम है
ये मेरी तरह ही गुमनाम है
***************Meanings**************
अहले अकल - People with wisdom
तर्जुमान - Interpretation
नवीदे - New
बाग़बान - Caretaker
शुआरा - Poets
शऊर – Subconscious
पैगाम - Message
सफ़े-तारीख़ - Pages of history
अहले वफ़ा - People with loyalty
कैसरी - Kingdom
अहले दिल - People with hearts
शौक़-ए-तबस्सुम - Fondness for laughter
फरमान - Order
तवज्जो - Attention
तलब – Need
सहरा - Desert
सराब - Mirage
********************************************