Veeraan Raastoun Mein
Waqt Kay Pairoun Pey Chal Rhaa Hoon
Aawaaraa Hwaa Nay Mujhay
Humsafar Banaayaa Hai
Sehraaoun Kaa Sahaaraa Hai
Aur Sannaattay Kaa Saayaa Hai
Larhkhrhaatay Honsloun Ko Kuchh Der
Abhi Mainay Thhehraayaa Hai
Saansoun Kaa Dhuuaan Yeh
Kissee Aag Sey Outhh Kar Aayaa Hai
Dharhkano Kee Raftaar Ko
Teray Khyaal Nay Daurhaayaa Hai
Palkoun Kay Pardoun Nay
Ashqoun Ko Ouchhalnay Sey Bachaayaa Hai
Khaamosh Labboun Ki Beybasi Ko
Nazaroun Ki Zubaan Nay Bataayaa Hai
Yeh Meray Junoon Kaa Jazbaa Hai
Jo Mujhay Tujh Tak Leh Aayaa Hai
Aahein Bhar Rhaa Hai Yeh Dil Jo
Iss Zamaa Mein Rehnay Kaa Kiraayaa Hai
Kuchh Dey Chukay Hain Hum
Aur Kuchh Abhi Bakaayaa Hai
Zehan Mein Meray Khayaaloun Kaa
Ek Nyaa Bahaav Aayaa Hai
Khayaaloun Kay Dariyaa Ko Mainay
Yaadoun Kay Samundar Main Bahaayaa Hai
Ouchhaltay Iss Samundar Ko
Mainay Apnee Rooh Pey Bichhaayaa Hai
Sookhee Iss Rooh Ko Naa Jaanay
Kyaa Hai Aalam-e-Gham
Jiss Kay Leeye Aaj Gumnaam
Yeh Samundar Bhi Parh Gyaa Hai Kam
Yeh Samundar Bhi Parh Gyaa Hai Kam
Yeh Samundar Bhi Parh Gyaa Hai Kam
***************Meanings**************
Veeraan – Wilderness
Seharaaoun – Deserts
Junoon – Craze
Jazbaa – Passion
Aalam-e-Gham – Worldly Sorrow/Misery
********************************************
रूह-ए-सफ़र
वीरान रास्तों में
वक्त के पैरों पे चल रहा हूं
आवारा हवा ने मुझे
हमसफ़र बनाया है
सहराओं का सहारा है
और सन्नाटे का साया है
लड़खड़ाते हौंसलों को कुछ देर
अभी मैंने ठहराया है
सांसों का धुआं ये
किसी आग से उठ कर आया है
धड़कनों की रफ़्तार को
तेरे ख्याल ने दौड़ाया है
पलकों के परदों ने
अश्कों को उछलने से बचाया है
ख़ामोश लबों की बेबसी को
नज़रों की ज़ुबान ने बताया है
ये मेरे जुनून का जज़्बा है
जो मुझे तुझ तक ले आया है
आहें भर रहा है ये दिल जो
इस ज़मां में रहने का किराया है
कुछ दे चुके हैं हम
और कुछ अभी बकाया है
ज़हन में मेरे ख्यालों का
एक नया बहाव आया है
ख्यालों के दरिया को मैंने
यादों के समुंदर में बहाया है
उछलते इस समुंदर को
मैंने अपनी रूह पे बिछाया है
सूखी इस रूह को न जाने
क्या है आलम-ए-ग़म
जिस के लिए आज गुमनाम
ये समुंदर भी पड़ गया है कम
***************Meanings**************
वीरान - Wilderness
सहराओं - Deserts
जुनून - Craze
जज़्बा - Passion
आलम-ए-ग़म - Worldly sorrow, Misery
********************************************