Kyun Judaa Kiya Hai…
Kyun Judaa Kiya Hai Iss Kadar Uskee Aashna Sey Mujhey
Gar Sab Ka Hai Toh Phir Milaa Uss Khuda Sey Mujhey
Rehmat Mein Aisaa Koi Farmaan Likh Dey Tu
Gunah Karun Bhi Toh Aaye Sakoon Sazaa Sey Mujhey
Dil Sey Zaida Duur Nahin Thaa Safar Jab Dumm Toota
Sansein Mil Jaatein Gar Hota Na Bair Iss Hawaa Sey Mujhey
Cheer Kar Jigar Phir Rooh Mein Zapt Kar Ley Jo
Milaa Dey Bus Ek Baar Uss Humnawaa Sey Mujhey
Shamsheer-e-Taqdeer Sar Pey Swar Hai Meyray Magar
Suroor-e-Mohabbat Hai Darra Na Khauff-e-Qazaa Sey Mujhey
Yun Hee Gark Na Hotey Hum Bhi Iss Jahan Mein
Kash Miltee Hifazzat Ulfat Kee Panaah Sey Mujhey
Dehleez Pey Rukna Abhi Aye Maut Kay Farishto
Hisaab Karna Hai Abhi Uskee Razaa Sey Mujhey
Zindgi Jaaney Sey Pehley Phir Aaeena Jawani Ka Dikha
Hosh-o-Hawaas Hon Ab Sey Aur Ho Ishq Ibtidaa Sey Mujhey
Zehan Mein Thaa Aaye Hain Khas Maqsad Sey Gumnaam
Khyun Phir Aam Muddey Nigal Gaye Apnee Ishtahaa Sey Mujhey
Meaning of Key Words in English
Aashna: Acquaintance
Humnawaa: partner
Shamsheer-e-Taqdeer: sword of fate
Khauff–e-Qazaa : fear of death
Ibtidaa: beginning
Ishtahaa: hunger/greed