Pathhar

Yeh Pathhar Bhi Hai

Meray Dil Kee Tarah

Torhtay Hain Sab Issey

Torhnay Kay Liye

Parhaa Hai Kisee

Sarhak Kay Kinaaray Abhi

Jo Kisee Pahaarh Ka

Hissaa Thha Kabhi

Lehrein Bhi Torhtee Hain

Issey Apnay Josh Mein

Magar Leytaa Hai Ounko Bhi

Yeh Apni Aagosh Mein

Jaanay Kay Baad Bhi

Khayaal Aataa Rahay Baad Mein

Bouth Bnaa Hai Kayee Baar

Logoun Kee Yaad Mein

Eintt Kay Jawaab Mein

Jab Kabhi Bhi Issey Pesh Kiyaa Hai

Eintton Ko Mukammal Shikast Ka

Ehsaas Diyaa Hai

Jab Jab Taqleef-e-Hwaa Nay

Humko Aakar Chhuaa Hai

Dil Pey Rakh Kar Issko

Shab-e-Gham Ka Safar Hua Hai

Ishq Sa Bhaav Hai Issmey

Bulundi Ka Izhaar Issmey

Gareeb Ka Vaar Hai Issmey

Meeloun Ka Intezaar Issmey

Rooh-e-Dumdaar Hai Issmey

Kayee Rasm-o-Rivaaj Barkraar Issmey

Meray Gulshan Ki Deewaar Hai Issmey

Kisee Ka Avtaar Issmey

Mumtaaz Ki Yaadgaar Hai Issmey

Saari Zameen Ka Daar-o-Madaar Issmey

Pathhar Ttoott-Ta Hai Jab

Angaaray Barastay Hain

Yeh Angaar Ashq Hain Isskay

Jaltay Hain Behtay Nahin

Ttukrhay Khaamosh Hain Isskay

Dard Hai Magar Kehtay Nahin

Itnee Beyrehami Sey

Mat Torho Issey Meherbaan

Janaazey Kay Baad

Yehi Reh Jaata Hai Nishaan

Pathhroun Kay Ttoottnay Ka

Hotaa Hai Mujhko Soz

Aur Pathhroun Ki Tarah Ab

Gumnaam Ttoott-Ta Hai Har Roz

Gumnaam Ttoott-Ta Hai Har Roz

Gumnaam Ttoott-Ta Hai Har Roz

***************Meanings**************

Shab-e-Gham - Night of Sorrow

Rooh-e-Damdaar - Strong Willed

Daar-o-Madaar - Dependence

********************************************

पत्थर

ये पत्थर भी है

मेरे दिल की तरह

तोड़ते हैं सब इसे

तोड़ने के लिए

पड़ा है किसी 

सड़क के किनारे अभी

जो किसी पहाड़ का

हिस्सा था कभी

लहरें भी तोड़ती हैं

इसे अपने जोश में

मगर लेता है उनको भी

ये अपनी आगोश में

जाने के बाद भी

ख़्याल आता रहे बाद में

बुत बना है कई बार

लोगों की याद में

ईंट के जवाब में

जब कभी भी इसे पेश किया है

ईंटों को मुकम्मल शिकस्त का 

एहसास दिया है

जब जब तकलीफ-ए-हवा ने 

हमको आकर छुआ है

दिल पे रखकर इसको

शब-ए-ग़म का सफ़र हुआ है

इश्क सा भाव है इसमें

बुलंदी का इज़हार इसमें

ग़रीब का वार है इसमें

मीलों का इंतजार इसमें

रूह-ए-दमदार है इसमें

कई रसम-ओ-रिवाज बरकरार इसमें

मेरे गुलशन की दीवार है इसमें

किसी का अवतार इसमें

मुमताज़ की यादगार है इसमें

सारी ज़मीन का दार-ओ-मदार इसमें

पत्थर टूटता है जब

अंगारे बरसते हैं

ये अंगार अश्क हैं इसके

जलते हैं बहते नहीं

टुकड़े ख़ामोश हैं इसके

दर्द है मगर कहते नहीं

इतनी बेरहमी से

मत तोड़ो इसे मेहरबान

जनाज़े के बाद

यही रह जाता है निशान

पत्थरों के टूटने का

होता है मुझको सोज़

और पत्थरों की तरह अब

गुमनाम टूटता है हर रोज़

गुमनाम टूटता है हर रोज़

गुमनाम टूटता है हर रोज़


***************Meanings**************

शब-ए-ग़म  -  Night of sorrow

रूह-ए-दमदार  -  Strong-willed

दार-ओ-मदार  -  Dependence

********************************************