Shaam-e-Wasal


Ek Shaam Tu Meray Naam Kar

Phir Chaahay Naa Kabhi Salaam Kar

Qaid Hotay Nahin Hain Lamhay Haseen

Yeh Naseeyat Hai Hidaayat Nahin


Meray Haal Par Tu Swaal Kar

Main Jawaab Doon Toh Naa Malaal Kar

Shikwaa Karay Jo Berukhee Pey Kahin

Iss Dil Kee Toh Yeh Riwaayat Nahin


Meri Soch Mein Tu Kayaam Kar

Phir Chaahay Tu Mujhay Nilaam Kar

Naa Milay Kharidaar Saray-Bazaar Kahin

Magar Mohabbat Mein Meri Kifaayat Nahin

Chaahay Ajnabee Sahi Tu Pehchaan Kar

Mujhsay Guftgu Ka Intezaam Kar

Lafz Kahein Jo Woh Paigaam Nahin

Meri Daastaan Hai Koi Hiqaayat Nahin


Haalaat Bayshuq Tujhay Hon Naamanzoor

Jo Likhaa Mainay Woh Parhnaa Zuroor

Muaaf Karnaa Huzoor Gar Kami Ho Kahin

Mera Kalaam Hai Yeh Koi Aayat Nahin


Intezaar Ki Jahaan Intehaa Nahin

Aur Oomeed Arsay Sey Goum Hai Kahin

Badli Hai Kyun Meri Sar Zameen

Jahaan Ibaadat  Hai Par Inaayat Nahin

Kashti Kaa Sahaaraa Naa Kinaaraa Kareeb

Jahaan Maujon Ki Masti Pay Tikaa Naseeb

Jo Farz-O-Garz Mein Larhtee Rahin

Mukhaalif Mahaul Par Himaayat Nahin

Jahaan Yaadein Bhi Ab Yaad Nahin

Aur Dard Ki Bhi Aawaaz Nahin

Kya Poochhaygaa Ous Dil Sey Gumnaam

Jahaan Ranjish Hai Par Shikaayat Nahin

Jahaan Ranjish Hai Par Shikaayat Nahin

Jahaan Ranjish  Hai Par Shikaayat Nahin


***************Meanings**************

Shaam-e-Wasal - Evening Of Reunion

Malaal - Grief

Riwaayat - Tradition

Kayaam - Reside, Dwell

Kifaayat – Being Miserly

Hiqaayat - Particular Incident

Aayat - Holy verse

Inaayat - Grace

Farz-O-Garz  - Duty and Need

Mukhaalif - Opposing

Himaayat – Support

********************************************


शाम-ए-वसल

एक शाम तू मेरे नाम कर 

फिर चाहे न कभी सलाम कर 

कैद होते नहीं हैं लम्हे हसीन 

ये नसीहत है हिदायत नहीं 

मेरे हाल पर तू सवाल कर 

मैं जवाब दूँ तो न मलाल कर 

शिकवा करे जो बेरुखी पे कहीं 

इस दिल की तो ये रिवायत नहीं 

मेरी सोच में तू कयाम कर 

फिर चाहे तू मुझे नीलाम कर 

न मिलें ख़रीदार सरे-बाज़ार कहीं 

मगर मुहब्बत में मेरी किफायत नहीं 

चाहे अजनबी सही तू पहचान कर 

मुझसे गुफ्तगू का इंतज़ाम कर 

लफ्ज़ कहें जो वो पैग़ाम नहीं 

मेरी दास्ताँ है कोई हिकायत नहीं 

हालात बेशक तुझे हो नामंज़ूर 

जो लिखा मैंने वो पढ़ना ज़रूर 

मुआफ़ करना हुज़ूर ग़र कमी हो कहीं 

मेरा कलाम है ये कोई आयत नहीं 

इंतज़ार की जहां इन्तहा नहीं 

और उम्मीद अरसे से गुम है कहीं 

बदली है क्यों मेरी सर ज़मीन 

जहां इबादत है पर इनायत नहीं 

कश्ती का सहारा न किनारा करीब 

जहाँ मौजों की मस्ती पे टिका नसीब 

जो फर्ज़-ओ-गर्ज़ में लड़ती रहें 

मुख़ालिफ़ महौल पर हिमायत नहीं 

जहाँ यादें भी अब याद नहीं 

और दर्द की भी आवाज़ नहीं 

क्या पूछेगा उस दिल से गुमनाम 

जहां रंजिश है पर शिकायत नहीं 


***************Meanings**************

शाम-ए-वसल - Evening of reunion 

मलाल - Grief 

रिवायत - Tradition 

कयाम - Reside, Dwell 

किफायत - Being miserly 

हिकायत - Particular incident 

आयत - Holy verse 

इनायत - Grace 

फर्ज़-ओ-गर्ज़ - Duty and need 

मुख़ालिफ़ - Opposing 

हिमायत - Support

********************************************