Teri Aankhoun Kay Samundar Mein
Yeh Hulchul Hai Nayee
Kyun Kinaaroun Nay Yahaan
Aaj Dum Torhaa Hai
Kyaa Koee Nayee Nehar Nay
Kissee Aisee Lehar Ko Chhorhaa Hai
Yaan Koee Naye Tehaltay Toofaan Nay
Beymarzi Sey Tujhay Ohrhaa Hai
Yaan Koee Maazi Kaa Humsafar
Phir Sey Aan Milaa Hai
Jisnay Barsoun Pehlay Koee
Ulfat Kaa Vaadaa Torhaa Hai
Yaan Koee Beyrang Beyzaar Bahaar Ki
Khushboo Nay
Guzaray Waqt Ki Kissee Udaas
Mehak Ko Chhorhaa Hai
Yaan Phir Gham Kay Barhtay Dabaav Nay Kahin
Teri Masoom Rooh Ko Nichorhaa Hai
Aur Abh Aisay Mein Meri Hamdardi
Kay Sakoon Ka Asar Thhorhaa Hai
Rehmat-e-Khudaa Inn Kinaaroun
Ko Mazboot Karo Zaraa
Taakay Inn Ki Diwaarein Seh Sakein
Iss Samundar Kaa Zalzalaa
Iss Samundar Ko Abh
Yahan Mat Aur Hwaa Do
Iss Sey Pehlay Ki Inn Palkoun Sey Chhalak Jaaye
Issko Gumnaam Kay Daaman Mein Bhaa Do
Gumnaam Kay Daaman Mein Bhaa Do
Gumnaam Kay Daaman Mein Bhaa Do
***************Meanings**************
Maazi - Past
Ulfat - Love
Beyzaar - Disappointed, Frustrated
********************************************
याद-ए-माज़ी
तेरी आँखों के समुंदर में
ये हलचल है नई
क्यों किनारों ने यहां
आज दम तोड़ा है
क्या कोई नई नहर ने
किसी ऐसी लहर को छोड़ा है
या कोई नए टहलते तूफान ने
बेमरज़ी से तुझे ओढ़ा है
या कोई माज़ी का हमसफ़र
फिर से आन मिला है
जिस ने बरसों पहले कोई
उल्फ़त का वादा तोड़ा है
या कोई बेरंग बेज़ार बहार की
खुशबू ने
गुज़रे वक़्त की किसी उदास
महक को छोड़ा है
या फिर ग़म के बढ़ते दबाव ने कहीं
तेरी मासूम रूह को निचोड़ा है
और अब ऐसे में मेरी हमदर्दी
के सुकून का असर थोड़ा है
रहमत-ए-ख़ुदा इन किनारों
को मज़बूत करो ज़रा
ताकि इनकी दीवारें सह सकें
इस समुंदर का ज़लज़ला
इस समुंदर को अब
यहां मत और हवा दो
इस से पहले कि इन पलकों से छलक जाए
इसको गुमनाम के दामन में बहा दो
***************Meanings**************
माज़ी - Past
उल्फ़त - Love
बेज़ार - Disappointed, Frustrated
********************************************